Teri Ummat Kar Zewar Pehen Kay Sham Haye Sham Noha Lyrics
shaam haye shaam
teri ummat ke zevar pehan ke
dekho nana chali hoo mai shaam
shaam haye shaam
mai deti kafan tujhko bhaiya
gar sar pe rida meri hoti
gar hotay khule haath mere
tere zakhmo ko haatho se dhoti
pabande rasan sar barehna
dekho bhaiya chali hoo mai shaam
shaam haye shaam
Jis Zainab sa Ko Tum Ne Baradar
Kabhi Nazren Utha Kar Na Dekha
Hath Rassi Se Mere Bandhe Hai
Aur Sar Par Nahi Mere Parda
Kaise Kufe Mein Jaungi Ghazi as
Jub Balve Mein Aaienga Naam
Jaise Darbar Paas Aa Raha Hai
Mera Dil Doobta Jaa Raha Hai
Mai To Ghar Mein Bhi Kam Bolti Thi
Bhai Tum Ko To Sub Kutch Pata Hai
Kis Tarha Se Karengi Bata De
Ek Sharabi Se Zainab sa Kalam
Dil Yeh Kehta Hai Ro Ro Ke Bhaiya
Kash Abbas as Maujood Hota
Kaant Deta Woh Uski Zuban Ko
Koi Baghi Agar Mujhko Kehta
Dekhti Phir Mai Kis Tarha Leta
Koi Zainab sa Ka Majme Mein Naam
Keh Rahe Hai Yeh Has Has Ke Shami
Aane Wale Hai Darbar Baghi
Jis Ne Ajdad Mare Humare
Aa Rahi Yahan Uski Beti
Khaulta Pani Pheko Chaton Se
Pattharon Ka Karo Intezam
ay nana mai kaise sunaon
darbare shaqi ka wo manzar
sab wali-o-hafiz thay baithay
aur sar pe meri na thi chadar
ay nana teri betiyon ko
kyun laaye hai sar nange aam
shaam haye shaam....
tere abid pe taari ghashi thi
aur kulsoom sehmi khadi thi
kabhi dekhoo mai zakhmi sakina sa
jiske daman may aag lagi thi
kabhi rowun mai apni rida ko
kabhi dekhoo mai jalte qayaam
shaam haye shaam....
tere bachon ko lekar gayi mai
shab bhar saari roti rahi hoo
kabhi ghazi ka lehja badal ke
mai pehre bhi deti rahi hoo
in bewa bahoo betiyon se
kyo karte nahi ho kalaam
shaam haye shaam....
jab roti thi bali sakina sa
aur baba ko apne bulaati
mai deti thi usko tasalli
aur seene pe apne sulaati
roothi zindan may masoom bachi
le le ke wo baba ka naam
shaam haye shaam
Teri Ummat Kay Zewar Pehen Kay Sham Haye Sham Noha Lyrics in Urdu Text
شام ہائے شام
تیری اُمت کے زیور پہن کے دیکھو نانا چلی ہوں میں شام
شام ہائے شام۔۔۔۔۔
میں دیتی کفن تُجھ کو بھّیا گر سر پہ رِدا میری ہوتی
گر ہوتے کھُلے ہاتھ میرے تیرے زخموں کو ہاتھوں سے دھوتی
پابندِ رسَن سر برہنہ دیکھو بھّیاچلی ہوں میں شام
شام ہائے شام۔۔۔۔۔
اے نانا میں کیسے سُنائوں دربارِ شقی کا وہ منظر
سب والی و حافظ تھے بیٹھے اور سر پہ میری نہ تھی چادر
اے نانا تیری بیٹیوں کو کیوں لائے ہیں سر ننگے شام
شام ہائے شام۔۔۔۔۔
تیرے عابد پہ طاری غشی تھی اور کلثوم سہمی کھڑی تھی
کبھی دیکھوں میں زخمی سکینہ جس کے دامن میں آگ لگی تھی
کبھی روئوں میں اپنی رِدا کو کبھی دیکھوں میں جلتے خیام
شام ہائے شام۔۔۔۔۔
تیرے بچوں کو لے کر گئی میں شب بھر ساری روتی رہی ہوں
کبھی غازی کا لہجہ بدل کے میں پہرے بھی دیتی رہی ہوں
ان بیوہ بہو بیٹیوں سے کیوں کرتے نہیں ہو کلام
شام ہائے شام۔۔۔۔۔
جب روتی تھی بالی سکینہ اور بابا کو اپنے بُلاتی
میں دیتی تھی اُس کو تسلی اور سینے پہ اپنے سُلاتی
رُوٹھی زندان میں معصوم بچی لے لے کے وہ بابا کا نام
شام ہائے شام
Social Plugin