Allah ek hai, Panjetan panch hai |Muazzam Ali Mirza New Manqabat 2023
Allah ek hai, Panjetan panch hai, Imam baraa hai, Masoom chauda hai
Pehle Imam Ali hai lakab jinka Murtaza
Aur dusare Hassan hai lakab jinka Mujtaba
Aur teesere Hussein, shehen shahe Karbala
Maa Fatemah hai jinke lakab jinka Sayyeda
Allah ek hai, Panjetan panch hai, Imam baraa hai, Masoom chauda hai
Chaute Imam Ali hai lakab Zainul Abedeen
Kehte he jinko sayede Sajjad momineen
Aur ik lakab hai aabide bimaar o zil haseen
Sajdo se jinko ab bhi munowar hai ye zameen
Allah ek hai, Panjetan panch hai, Imam baraa hai, Masoom chauda hai
Hai paanchve Imam, Mohammed hai jinka naam
Baaqir lakab se jaante hai inko khaaso am
Hai ilm mere panchve akaa ko bhi tamaam
Inko salaam karte hai, Gibreal sub ho shaam
Allah ek hai, Panjetan panch hai, Imam baraa hai, Masoom chauda hai
Hai momino ke Jaffer-e-Sadiq chate Imam
Din ka kalaam lagta hai Qur’an ka kalaam
Sadiq Imam ko to hai sach bolo nai sikhaa
Hai fiqh hi jafferi ki shariat inhi ka naam
Allah ek hai, Panjetan panch hai, Imam baraa hai, Masoom chauda hai
Aur satve Imam ko kazim lakab milaa
Musa he naam Jaffere Sadiq ke laal ka
Jo apni puri zindagi bas qaid me raha
To qaid ko bhi sahibe izaat bana diya
Allah ek hai, Panjetan panch hai, Imam baraa hai, Masoom chauda hai
Hai aatve Imam hamare Ali Radha
Jinko Imame Zamino Zamin lakab mila
Roze me dil ke ek hai darwazae shifaa
Hoti he har mareez ko sehat waha ataa
Allah ek hai, Panjetan panch hai, Imam baraa hai, Masoom chauda hai
Apne nave Imam lakab jinka hai jawad
Karte hai jinko namme mohammed taqi se yaad
Taqwase jinke haar gayi kowme baad nihaar
Sabne samaj liyake hai kya nafs se jihad
Allah ek hai, Panjetan panch hai, Imam baraa hai, Masoom chauda hai
Dasve Imam jinka hai isme jali Ali
Allahaki taraf se mila hai lakab naki
Surat me jinki baap, ka tha husne mun jali
Seerat me jinki ayyi, nazar seerate nabi
Allah ek hai, Panjetan panch hai, Imam baraa hai, Masoom chauda hai
He gyarave Imam, Hassan jinka naam he
Aur asghari lakab hai, shahe khaaso aam he
Yani khudae fawj, ka jo intezaam hai
Sab inke haath me hai, ye inka makaam hai
Allah ek hai, Panjetan panch hai, Imam baraa hai, Masoom chauda hai
Aur baarve Imam, Zamane ke taajdar
Jo apne naam se hai, payamber ki yaadgar
Ik wasf me jo wasfe, khuda se hai ham kinaar
Parde me hai Imam to, parde me kird-e-gaar
Allah ek hai, Panjetan panch hai, Imam baraa hai, Masoom chauda hai
Maajid ke lab pe baara, Imamo ka jo bayaan
Me is bayaan se dehrmain, rehta hu Shadman
Hota hai zikr aaka ka, mere jahaan jahaan
Maula ke sadke zikr hai, mera wahaa wahaa
Allah ek hai, Panjetan panch hai, Imam baraa hai, Masoom chauda hai
Social Plugin