Sada Deti Thi Yeh Zahra , Ali Say Puchna Baba
Gira Jab Muj Pay Darwaza , Guzratay Jatay Thay Aada
Ali (as) Say Puchna Baba
1) Mai Beti Hon So Baba ki Tabiyat ko Samjhti Hon
Tamacha Kis Nay Mara Hai Batanay Say Jijhakti Hon
Hua Kis Tarha Say Neela, Teri Beti ka Yeh Chehra
Ali (as) Say Puchna Baba
2) Madinay Ka Rawaiya Yun Tumharay Bad Badla Hai
Mai Zehra Hon Nabi Zaadi Mujay Yeh Kehna Parta Hai
Yeh Mastoorat Yasrab ki, Adab Karti Nahi Mera
Ali (as) Say Puchna Baba
3) Mera ik Hath tu Rehta Hai Baba Zakhmi Phelu Per
Mujay Mara Gaya Hai Taziyana Dojay Bazu Per
Bari Muhskil Say Hota Hai, Teri Beti Say Ab Sajda
Ali (as) Say Puchna Baba
4) Sitamgar Jis Ghari Aya Meray Kano Mai Gohar Thay
Uthaya Hath Jab Per tu Baba Meray Kano Say
Meray Rukhsar Mai Aa kar, huwa Paywast Wo Bunda
Ali (as) Say Puchna Baba
5) Mujay Darbar ki Peshi Nay is Darja Tha Tarpaya
Koi Athara Barso Ka Janaza Jesay Ho Aya
Kiya Hai Kis Tarha Mainy, Safar Darbar Ka Baba
Ali (as) Say Puchna Baba
6) Na Din Ko Chain Pata Hai Na Wo Rato ko Sota Hai
Meray Rasty Mai Girnay Per Hasan Chup Chup k Rota Hai
Mera Beta Nahi Us Din Say Meray Samnay Aya
Ali (as) Say Puchna Baba
7) Tumhein Maloom Hai Shabbir Ko Nazo Say Hai Pala
Usay Seenay Laganay Say b Ab Ajiz Hui Zahra
Mera Bazu Shiksta Hai , Laga Tha Is Tarha Duraa
Ali (as) Say Puchna Baba
8) Pidar Ki Qabr Pay Bibi Nay Akbar Ro Kay Farmaya
Mai Zehra ho kay b Na Mehramo Mai Agai Baba
Ali ko Kesay Kunfz Say Teri Zahra nay Chorwaya
Ali (as) Say Puchna Baba
Noha Title | Ali Se Puncha Baba Noha Bibi Fatima |
---|---|
𝗥𝗲𝗰𝗶𝘁𝗲𝗱 𝗕𝘆 | Syed Mohammad Shah |
𝗣𝗼𝗲𝘁𝗿𝘆 𝗕𝘆 | Janab Hassnain Akbar |
𝗖𝗼𝗺𝗽𝗼𝘀𝗲𝗱 𝗕𝘆 | Syed Zaire Naqvi |
Album | Ayam e Fatimiyah 2023/1445 |