Hum Ali ke deewane haadeson mein palte hain
Khaar daar raahon par muskurakar chalte hain
Hum Ali ke deewane haadeson mein palte hain
Kya samajh ke yeh duniya hum peh zulm karti hai
Ham woh hain ke dil jinke mowth se behalte hain
Hum Ali ke deewane haadeson mein palte hain
Humto khud parte hain aag mein Ali kehkar
Baaz log Hyder ke naam he se jalte hain
Hum Ali ke deewane haadeson mein palte hain
Aap aur hum kya hain kya bisaat hai apni
Naam-e- Murtuza lekar ambiya sambhalte hain
Hum Ali ke deewane haadeson mein palte hain
Zikre Murtuza cheda kya bura kiya mein ne
Aap is tarha pehloo kis liye badalte hain
Hum Ali ke deewane haadeson mein palte hain
Daaman-e-Ali jinke haath mein nahin hota
Woh Quda raseeda bhi ho ke haath malte hain
Hum Ali ke deewane haadeson mein palte hain
Aaj leke jaayega kuch na kuch to Kirmani
Sa-ile-Ali bhi kya qaali haath talte hain
Title | Hum Ali Ke Deewane |
---|---|
Reciter | Sonu Monu |
Kalam | Mir Mohammad Ali Kirmani |
Soz | Waheed Kamaliya |