TU ALI KI KARTA HAI HAMSARI || EID E GHADEER

Tu Ali ki karta hai humsari
yeh tere zameer ki bhool hai

tujhme Ali ki wila nai
teri bandagi toh fuzool hai

yeh jo kar raha hai tu sakhtiyan
mere pyaar ka hai yeh imtehaan

tujhe takht par bhi sukoon nahi
mujhe daar par bhi mili amaa
mai aduu ko kyu na adu kahu 2

meri zindagi ka usool hai
mai maru toh lab pe ho ya ali
mujhe aisa marna kabool hai
tu ali…

woh ali jamaalae innama
woh ali jo haasile kul kafan

usey kya kahu tu khud bata
chalo tujhpe yeh choda faisla

jisey haq ne yeh baksha hai martaba
jo ajal se shohare batool hai

jaha jaagtaa toh imaam hai
kabhi so gaya toh rasool hai

Similar Posts