15 Shaban Manqabat Lyrics Ek Waris e Haider Hai Imam Mehdi as Manqabat Ali Akbar Ameen

Ek Waris e Haider hai Jo ghaib say aayega
Is duar ki marhab ki aukat bataega

Shabbir ki ek majlis kaab e may bapa hogi
Allah ke Ghar Mai bhi ye rasm Ada hogi
Khud farshe aza apne hathon say bichaega

Kaabe say alam lekar ishaan say niklega
Qura’an imamat ka juzdan say niklega
Tohid ke jalwo Mai Islam nahaega

Islam ke phoolo ki parcham Mai ladi hogi
Ek mashk phairere ke siney pa padi hogi
Pyaso ki shahadat ka ye qarz chukaega

Aajane do ghaibat say Waris ko shahedo ke
Od jaengy duniya Mai khud hosh yazeedo ke
Jub hath Mai Haider ki talwar othaega

Her Dil Mai ziyarat ke Arman
Badey hongy
Isa bhi jamaAt ke khahish Mai khadey hongy
Jub apna musalla ye Pani pa bichaega

Her ek buari say Dil saaf karega ye
Khalik ki adalat Mai insaf karega ye
Hai baaghe fidak kiska duniya ko bataega

Jo door hai unko bhi nazdeek bulalega
Haider ke mohibbo ko seene say laga lega
Munkir ko wilayat ke ye mooh na laegaga

kirdar ke jalwo ka Bazar alag hoga
Mehdi ki hukumat ka meyar alag hoga
Haq Charo taraf hoga batil mitjaega

Zalim ke lie Akhtar duniya Mai tabahi hai
Sub ahle aza Akbar Mola ke sipahi hai
Munkir hai Jo iska vo Jannat Mai na jaega

Manqabat Title Ek Waris e Haider Hai
RecitedAli Akbar Ameen
PoetryAkhtar Sirsvi
CompositionRaza Shah

Similar Posts