Aap Ke Bad Na Soyi Zahra s.a Lyrics | Noha Ayyam Fatimia

Aap Ke Bad Na Soyi Zahra s.a

Hyder se kaha zehra se kahe
wo raat may mehlan ro le ya
baba ke liye din may role
ye baat ali ne batlaayi
jab fatema zehra ko aa kar
boli zehra mai rolungi
ab ghar se door kahin jaa kar
ye sunke madine se baahar
ek baitul huzn banaya gaya
jahan baith ke zehra roti thi
aur ro ro ke ye kehti thi

haye baba aap ke baad na soyi zehra
bas roti rahi haye wavaila wavaila

jis ghadi jalta hua mujhpe wo darwaza gira
phasliyan toot gayi pehlu shakista bhi hua
tumhari ye beti sada de rahi thi
haye maara gaya mohsin
haye baba aap ke baad na…

baba tum jab se gaye hogayi tanha zehra
aap ki yaad may jab ghar may bicha farsh e aza
isi gham may royi yateemi may koi
dene nahi aaya hausla
haye baba aap ke baad na…

kaash wo waqt kabhi mujhpe na aata baba
maine hyder ka gala rassi may dekha baba
gayi jab bachane lagay taaziyane
aur haath mera zakhmi hua
haye baba aap ke baad na…

baba ek maa ka liye waqt bahot mushkil tha
ek zaalim ne mere rukh pe tamacha maara
chupaati thi chehra hassan dekhta tha
jab surkh huwa chehra
haye baba aap ke baad na…

mere aane pe jahan aap bhi uth jaate thay
wohi darbar tha aur saamne sab baithe rahe
akeli khadi thi fidak maangti thi
afsos mujhe haq na mila
haye baba aap ke baad na…

sirf athara baras may ye mera aalam hai
dekho baalon may safaydi hai kamar bhi kham hai
zaeefa hai ab to mera haal dekho
mai thaam ke chalti hoo asa
haye baba aap ke baad na…

ro ke zeeshan yehi kehta hai irfan e aza
cheen kar saaya layeen ne wo shajar kaat diya
jahan baith’ti thi bas ab doop may bhi
honton pe yehi tha marsiya
haye baba aap ke baad na…

Noha TitleAap Ke Bad Na Soyi Zahra s.a
Noha KhuwanIrfan Haider
PoetryZeeshan Abidi

Similar Posts