Baba Na Jao
Ahsasn Hoga Mujh Par Baba Na Jao
Dastar Zakhmi Main Odhg Loongi
Jo Khoon Hai Wo Sar Par Maloon Gi
Meri Rida Ka Bandho Amama
Baba Na Jao
Kaisay Meri Fajr Hogi Mukammal
Ghar Ho Gaye App Aankhon Say Ojhal
Dekhungi Uth Kar Main Kiska Chehra
Baba Na Jao
Yaad Aa Raha Hay Mujhko Madina
Wapis Watan Ko Chaltay Hain Bana
Mujhko Nahi Ab Koofay Main Rehna
Baba Na Jao
Eid Aa Rahi Hai Rizwaan Bulao
Jannat Se Mere Kurtay Mangao
Pehno Gi Kya Main Malboos Kala
Baba Na Jao
Main Sun Rahi Hoon Kuch Mujh Se Bolo
Ik Bar Baba Aankhain To Kholo
Dekho Keh Ab Dil Phatta Hai Mera
Baba Na Jao
Tum Ko Sedain Mehrab De Ga
Mimber Tumhara Noha Padhega
Veraan Rahe Ga Ab Yeh Musalla
Baba Na Jao
Main Dekhney Ko Aeyi Thi Shahi
Mujh Par Yateemi Koofay Main Ayei
Aaya Na Zainab (sa) Ko Raas Kofa
Baba Na Jao
Ro Ro Ke Talwar Ko Dekhta Hai
Ghazi Ki Yeh Pehli Karbala Hai
Chup Chup Ke Rota Hai Abbas Mera
Baba Na Jao
Mayyat Uthi Tu Zainab Pukari
Tarpaye Gi Yaad Har Pal Tumhari
Roti Hai Dekho Kamsin Khadija
Baba Na Jao
Yeh Chup Tumhari Betla Raha Hai
Mohsin Ki Tum Ko Yad Aa Rahi Hay
Le Jao Mujh Ko Bhi Sath Warna
Baba Na Jao
Noha Title | Baba Na Jao |
---|---|
𝗥𝗲𝗰𝗶𝘁𝗲𝗱 𝗕𝘆 | Syed Mohammad Shah |
𝗣𝗼𝗲𝘁𝗿𝘆 | Muhsin Jaffri |
𝗖𝗼𝗺𝗽𝗼𝘀𝗶𝘁𝗶𝗼𝗻 | Muhsin Jaffri |
Album | 21 Ramzan Noha 2024 |