Jahan Hairaan Hai Saara Ye Kya Hai
Ye Kaisa Soz o Gham Ka Silsila Hai
Ye Kiska Gham Dilon Par Chha Gaya Hai
Hussain Ibn e Ali Wo Badshah Hai
Har Qadam, Dil Ki Sada Hai
Har Qadam, Ye Har Jagah Hai
Har Qadam Har Dam Nara
Mola Mola Hussaina
Ya Hussain Salawatullah
Mola Mola Hussaina
Ham Haideri Ham Faatmi
Ham Karbalai Hain Wallah
Kya Ishq e Khuda Hai Wallah
Ye Aapse Hai Jana
Kya Raaz Hai Mar Kar Jeena
Is Raaz Ko Pehchana
Hairaan Hain Qurbaan Hai n
Is Baat Par Hum Ba Khuda
Jaan O Dil Tum Par Fida
Ya Hussain Ya Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain
Ya Hussain Hussain Hussaina
Gham Mola Hussain Tumhara
Mere Dil Ka Sahara Hai
Gham Bhool Gaye Hum Apna
Gham Yaad Tumhara Hai
Noha Padhen Matam Karen
Gham Ye Manaye Rozana
Matami Ki Hai Sada
Suno Mola!
Mere Ghar Mein Tumhari Baatein
Mere Ghar Mein Aza Khana
Mere Ghar Mein Alam Ghazi Ka
Karta Hai Sada Saya
Ye Raunaken Ye Barkaten
Hain Aapse Shukar e Khuda
Ya Hussain Rehmatullah
Mola Mola Hussaina
Jab Kahoge Ya Hussain
Jab Sunoge Ya Hussain
Dil Ko Mil Jaye Ga Chain
Yehi Sada e Behr o Bar
Yehi Sada e Khush O Taar
Chalo Chalo Karbala Chalo
Dar e Hussain Par Ye Sadayen Do
Wahan Khuda To Hai!
Wahan Khuda To Hai Mustafa Bhi Hai
Murtaza Hassan Fatima Bhi Hain
Ba Wafa Abbas Bhi Hain
Chalo Chalo Chalo Karbala Chalo
Chalo Chalo Karbala Chalo
Mere Mola!
Bechain Hai Dil Mera Mola
Mujhe Paas Bulao Na
Ek Baar Tumhi Ghazi Ko
Mera Haal Sunao Na
Kehna Zara Ye Ilteja
Puri Karen Shah e Wafa
Aana Hai Ab Karbala
Karbala!
Wo Karbobala Ashura
Wo Mashk O Alam Dariya
Wo Qasim O Akbar Ghazi
Jalta Hua Har Khaima
Ae Karbala Tu Hi Bata
Kya Kya Sitam Sheh Par Hua
Haye Sakina Ke Baba
Ya Mazloom Hussaina
Mazloom e Karbla
Mazloom e Nainawa
Har Qadam Har Dam Nara
Mola Mola Hussaina
Noha Title | Har Dam Nara Lyrics Nadeem Sarwar |
---|---|
Reciter | Ali Shanawar |
Composition | Ali Shanawar, Nadeem Sarwar & Ali Jee |
Poetry | Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Ali Shanawar |