Haye barchhi se chhida hai mere akbar ka jigar
Umme laila kar rahi hai aah o zari ya hussain
Loot gayi maqtal mein zainab ki kamai ya hussain
Haye barchhi se chhida hai……..
Haye tuti thi kamar abbas ke gham se teri
Ye zaeefi haye akbar ki jawani ya hussain
Haye barchhi se chhida hai……….
Waa ali keh kar gire mazloom e karbal use ghadi
Ye sada akbar ki maqtal se jo aayi ya hussain
Haye barchhi se chhida hai…….,..
Puchha jab akbar ki maa’n ne Shahidi rone lage
Kis tarha barchhi kaleje se nikali ya hussain
Haye barchhi se chhida hai……….
Chhinte they jis ghadi zalim rida sar se mere
Main sadaayen de rahi thi haye ghazi ya hussain
Haye barchhi se chhida hai……….
Khaak ke bistar pe wo masoom saye kis tarah
Jo tere seene pe sone ki ho aadi ya hussain
Haye barchhi se chhida hai………
Umme laila kar rahi hai aah o zari ya hussain
ہاۓبرچھی سے چھدا ہے میرے اکبر کا جگر ام لیلی کر رہی ھے آہ و زاری یا حسین
لٹ گئی مقتل میں زینب کی کمائ یا حسین
ہاۓٹوٹی تھی کمر عباس کے غم سے تیری
یہ ضعیفی ہاۓ اکبر کی جوانی یا حسین
وا علی کہ کر گرے مظلوم کربل اس گھڑی
یہ صدا اکبر کی مقتل سے جو آئ یا حسین
پوچھا جب اکبر کی ماں نے شاہ دین رونے لگے
کسطرح برچھی کلیجے سے نکالی یا حسین
چھینتے تھے جس گھڑی ظالم رداسر سے میرے
میں صدائیں دے رہی تھی ہاۓ غازی یا حسین
خاک کے بستر پہ وہ معصوم سوۓکس طرح
جو ترے سینے پہ سونے کی ھو عادی یا حسین
Noha Title | Haye Barchi Se Chida Ha |
---|---|
Noha Khuwan | Ajmal Hussain Zakir |
Poet | Tanvir Subhan |