Haye Sakina Meri Haye Sakina Noha Lyrics Ali Mohammad Sultanpuri

Waqt naza kahta raha shah ka alamdar Haye sakina meri Haye sakina

Tashna dahan mar na kahi,n jaye dilafgaar

Haye Sakina…

1.hatho,n me kuza liye khhaime ke darpar khadi

Paani ki ummeed me hogi sakina meri

Payegi jisdam khabar mashk meri chhid gayi

Roke kahegi chacha pyas meri bujh gayi

Dil me rahe ga ye qalaq sayyed e abrar

Haye …

2.naaz uthata raha jiska mai shamo sahar

Aaj bhatiji meri hai wahi tashna jigar

Kya kahu,n kis darja ab gham ka hai dilpar asar

Tashna dahani faqat uski hai peshe nazar

Chashm hui kah ke yahi ghazi ki ghazi ki khu,nbaar

3.haye nahi bujhsaki bachcho,n ki tashnalabi

Wada na pura hua aur qaza aagayi

Kaise kahu,n kis qadar mujhko hai sharmindagi

Laash na jayegi ab khaime me aaqa meri

Roke yahi kahta raha shah ka alamdar

4.karta hu,n mai to safar hogi Qayamat magar

Chhayegi gham ki ghata bekas o mazloom par

Zulm sahegi bhala kis tarah jaane pedar

Phat ta hai ye soch kar ba khuda mera jigar

Baad mere uspe sitam dhaye,nge aghyaar

5.teero,n ki baarish hui naizao khhanjar chale

Zulm ki had ho gayi bazu qalam ho gaye

Mashk nahi la sake gurz laga gir pade

Nahr pe maare gaye be khata ammu mere

Sunke khhabar royegi wo bekaso laachaar

6.shakl bhateeji ko mai kaise dikhau,n bhala

Mout se majboor hu,n kaise mai jau,n bhala

Pyas sakina ki ab kaise bujhau,n bhala

Mashk me paani nahi kaise batau,n bhala

Noha yahi padhta raha shah ka madadgaar

7.jiska bilakna kabhi mujhko gawara na tha

pyas se tadpegi wo maine ye socha na tha

Pani mai laata nahi ba khuda aysa na tha

Jang mai karta yaha,n shah ka irada na tha

Kahke yahi rone laga paikar e isaar

8.hai ye taswwur faqat noha alamdaar ka

Koun likhega bhala ranj wafadaar ka

Maqsad e Khursheed hai ashak azadaar ka

Tazkera karta hai wo shah ke ghamkhawar ka

Samjho zaba,n ahle aza kahte hai,n ashaaar

Noha TitleHye Sakina Meri Haye Sakina sa
ReciterAli Mohammad Sultanpuri
PoetJanab Khursheed Sahab
ChorusRizwan Mirza & Team
NohaMola Abbas Alamdar as

Similar Posts