MUSKURAO ALI KE DEEWANO MUSKURANE KE DIN AGAYE HAIN
LEKE NAAM E ALI MUNKIRON KA DIL JALANE KE DIN AGAYE HAIN
JASHN TERA RAJAB KA MANAO MIL KE NAARA ALI KA LAGAO
HAY YEH MAHE RAJAB MEHFILON MEI AANE JAANE KE DIN AGAYE HAIN
CHEHRA MOLA ALI KA JO DEKHA HANS KE KAABA BUTON SE YE BOLA
AGAYA GHAR KA MALIK CHALO AB YAAN SE JAANE KE DIN AGAYE HAIN
AAJ JANNAT KHUDA BAANT TA HAY JO BHI MAANGA HUMMEH MIL RAHA HAY
ZIKR E HAIDER SE APNE MUQADDAR JAGMAGANE KE DIN AGAYE HAIN
JINKA SADKA HAY DUNIYA WOHI AGAYE
BAN KE IMRAN KI ZINDAGI AGAYE
ARSH WAALE RAHEN KIS TARHA ARSH PAR
ASMAAN SE ZAMEEN PAR ALI AGAYE
JO ALI KI WILAYAT KA DUSHMAN WO KHUDA KI IBADAT KA DUSHMAN
KON ASLI MUSALMAAN HAY YE AZMANE KE DIN AGAYE HAIN
AAMAD E MURTAZA HAY BATADO FARZ MOLAIYAT KA NIBHADO
GHAR SAJAO ALI KAY MUHIBBO GHAR SAJANE KE DIN AGAYE HAIN
JAB SE NAARE ALI KA SUNNA HAY MOO MUNAFIQ KA UTRA HUWA HAY
SUNKAY NAAM E ALI SHAIKH JEE KAY DILMILANE KE DIN AGAYE HAIN
HAQ HAMARA HAY YE MADHA KHUANI KYU KE HUM LOG HAY KHANDANI
FATEMAH AUR ZEESHAN APNA HAQ JATANE KE DIN AGAYE HAIN
Manqabat Title | Muskurao Ali (as) Ke Deewano |
---|---|
Reciter | Fatemah Ladak |
Poet | Zeeshan Abidi |
Chorus | Mohsin Hashmi, Mesum Zaidi & Hassan Ji |