Sukoon Paya | Ghulam Mustafa Qadri| Naat Lyrics In Roman English And Urdu 2023

Sukoon Paya Hai Bekasi Nay
Hazoor Ke Jab Paigam Aa Gaye Hain
Main Girta Girta Sambhal Gaya Hoon

Kabhi Main Subh-e-Azal Gaya Hoon
Kabhi Main Sham-e-Abad Gaya Hoon
Talash-e-Janaan Mein Kitni Manzil
Khuda Hi Jaane Nikal Gaya Hoon

Mere Janazay Pe Rone Walo
Faraib Mein Ho Beghor Dekho
Mera Nahi Hoon Ghum-e-Nabi Mein
Libas-e-Hasti Badal Gaya Hoon

Haram Ki Tapati Hui Zameen Par
Jigar Bichane Ki Aarzoo Thi
Bahar-e-Khuld-e-Bareen Mili To
Bacha Ke Daman Nikal Gaya Hoon

B-Feiz-e-Hassan Ibne Sabit Barang-e-Naat-e-Nabi Akram
Qamar Mein She’r-o-Sukhan Ki Le Mein
Adab Ke Moti Ugul Gaya Hoon

سکون پایا ہے بے کسی نے
حضور کے جب پیغام آ گئے ہیں
میں گرتا گرتا سنبھل گیا ہوں

کبھی میں صبحِ ازل گیا ہوں
کبھی میں شامِ ابد گیا ہوں
تلاشِ جاناں میں کتنی منزل
خدا ہی جانے نکل گیا ہوں

مرے جنازے پہ رونے والو
فریب میں ہو بغور دیکھو
مرا نہیں ہوں غمِ نبی میں
لباسِ ہستی بدل گیا ہوں

حرم کی تپتی ہوئی زمیں پر
جگر بچھانے کی آرزو تھی
بہارِخلدِبریں ملی تو
بچا کے دامن نکل گیا ہوں

Similar Posts