Apkay Bad Muje Shimr Nay Mara Baba
Choor Zakhmon Say Hui Teri Sakina Baba
Kiya Yateemon Ko Dilasa Nahi Daita Koi
Kiya Aseeron Ka Koi Gahr Nahi Hota Baba
Kesay Is Khak Kay Bistar Pay Muje Neend Ayy
Maa Ki Agosh Hay Na Aapka Seena Baba
Mujhko Is Bat Pay Zalim Nay Tamachay Maray
Main NayBas Apka Sar Shimr (L) Say Manga Baba
Apkay Bad Muje Shimr Nay Mara Baba
Itni Berehmi Say Dur Mere Laeen Nay Cheenay
Jesay Dadi Say Fidak Logon Nay Cheena Baba
Muu Kay Bal Dortay Naqay Say Giri Th Jab Main
Shimr (L) Nay Balon Say Tab Mujhko Uthaya Baba
Yea Batingay Ki Bhuji Piyas Ali Asgar ki
Ya Wo Hay Meri Tarah Ajj Bhi Piyasa Baba
Aesay Ujray Na Koi Meri Dua Hay Rab Say
Jese Pardes Main Ujri Hay Sakina (sa) Baba
Apkay Bad Muje Shimr Nay Mara Baba
Mout Say Hay Badh Kay Jeenay Ki Saza Iskay Leay
Samnay Zibh Ho Jis Beti Kay Piyasa Baba
Aik Bar Ankhain To Kholo Meri Janib Daikho
Ajj Pehchano Zara Apni Sakina (sa) Baba
Hath Pehlu Say Nahi Jesay Utha Dadi (sa) Ka
Hath Rukhsar Say Mera Nahi Uthta Baba
Kash Sugra (sa) Ki Trah Main Bi Watan Reh Jati
Kash Meray Leay Zindan Na Hota Baba
Kab Watan Jaungi Zindan Say Riha Ho Kar Main
Yad Ata Hay Bht Mujhko Madina Baba
Apkay Bad Muje Shimr Nay Mara Baba
Zinda Rehnay Ki Chukai Hay Yea Qeemat Main Nay
Main Hui Char Baras Mai Hi Zaeefa Baba
Mar Na Jay Wo Kahin Daikh Kay Halat Meri
Main Chupa Leti Hung Sajjad (as) Say Chehra Baba
Apko Wasta Dadi Ka Mueje Le Jao
Ab Muje Aor Nahi Rehna Hay Zinda Baba
Tum Nay Jis Beti Ko Manga Tha Namaz-e-Shab Main
Usnay Ik Pal Bhi Kahin Chain Na Paya Baba
Ab Andheray Ki Shikayat Na Karungi Tum Say
Ab Muje Kuch Bhi Nazar Hi Nahi Ata Baba
Zindagi Roti Hay Khud Daikh Kay Zinda Mujhko
Mout Karti Hay Meri Mout Pay Girya Baba
So Gai Sham Kay Zindan Main Sakina Mohsin
Qaid Khanay Main Sada Reh Gai Baba Baba
Apkay Bad Muje Shimr Nay Mara Baba Noha Lyrics in Urdu Text
Noha Title | Apkay Bad Muje Shimr Nay Mara Baba |
Reciter Name | Zawar Markazi Matmi Dasta Islamabad |
Poetry By | Mohsin Jaffri |
Released On | Our Official YouTube Channel (Ya Zehra sa) |
Chorus | NA |
Category | Noha |
Released Year | Muharram 1442 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz/Composition | Hassan Ghori |
Social Plugin