Zaeef Hogayi Zahra (sa) Noha Lyrics Ayam e Fatmiyah Noha 2020-2021 Mazahir Abbas
Zaeef hogayi atthara saal mein Zahra (sa)
tumhare baad zamane ne woh sitam dhaya
Safaid baal kamar khham nigahein gham se bhari
shakista pehlu hai tooti hain pasliyan meri
ajeeb haal mein beti he dekhloo baba
Zaeef hogayi atthara saal mein Zahra (sa)
sitam jo maine uhtaaye bataaun mein kaisay
Jo dil ka haal hai baba sunaaon mein kaisay
tumhari beti ko darbaar mein bulaaya gaya
Zaeef hogayi atthara saal mein Zahra (sa)
Main tumko kaise bataaun museebatein apni
tumhari beti ne khaaye hain taaziyaane bhi
Hassan (as) ke samnay zalim ne mujhko hai maara
Zaeef hogayi atthara saal mein Zahra (sa)
diya he aap ki ummat ne yeh silaa baba
lagaa ke aag mera Darr jalaa diya baba
Nabi (saww) ki beti hon ik baar yeh nahi socha
Zaeef hogayi atthara saal mein Zahra (sa)
phir ek zulm sitamgar ne dhaa diya mujh par
jo jal raha tha wohi Darr giraa diya mujh par
na bach sakaa mera MOHSIN (as) yeh zulm kaisa hua
Zaeef hogayi atthara saal mein Zahra (sa)
mein janti hoon ke ummat ne kyun jafaa ki hai
faqat Ali (as) se mohabbat ki yeh sazaa di hai
ruُlaaya jis ne mujhe woh Ali (as) ka dushman tha
Zaeef hogayi atthara saal mein Zahra (sa)
bayaan haal ho ”Zeshaan Abidi” kaisay
sitam uthaiye hain itnay Nabi (saww) ki beti ne
ruke na aankhon se ansoo likha jo yeh noha
Zaeef Hogayi Zahra (sa) Noha Lyrics Ayam e Fatmiyah Noha 2020-2021 Mazahir Abbas in Urdu Text
ضعیف ہو گئی زہرا س
ضعیف ہوگئی اٹھارہ سال میں زہراس
تمھارے بعدزمانے نے وہ ستم ڈھایا
سفید بال کمر خم نگاہیں غم سے بھری
شکستہ پہلو ہے ٹوٹی ہے پسلیاں میری
عجیب حال میں بیٹھی ہےدیکھ لو بابا
ستم جو میں نے اٹھائے بتاوں میں کیسے
جو دل کا حال ہے بابا سناوں میں کیسے
تمھاری بیٹی کو دربار میں بلایا گیا
میں تم کو کیسے بتاوں مصیبتیں اپنی
تمھاری بیٹی نے کھائے ہیں تازیانے بھی
حسن ع کے سامنے ظالم نے مجھ کو ہے مارا
دیاہے آپک امت نے یہ صلہ بابا
لگا کے آگ میرا در جلادیا بابا
نبی ص کی بیٹی ہوں اک بار یہ نہیں سوچا
پھر ایک ظلم ستم گر نے ڈھا دیا مجھ پر
جو جل رہا تھا وہی در گرا دیا مجھ پر
نہ بچ سکا میرا محسن ع یہ ظلم کیسا ہوا
میں جانتی ہوں کہ امت نے کیوں جفا کی ہے
فقط علی ع سے محبت کی یہ سزا دی ہے
رلایا جس نے مجھے وہ علی ع کا دشمن تھا
بیاں حال ہو زیشان عابدی کیسے
ستم اٹھائے ہیں اتنے نبی ص کی بیٹی نے
رکے نہ آنکھوں سے آنسو لکھا جو یہ نوحہ
Noha Title | Zaeef Hogayi Zahra (sa) |
Reciter Name | Mazahir Abbas |
Poetry By | Zeeshan Abidi |
Released On | Mazahir Abbas YouTube Channel |
Audio | ODS Karachi |
Category | Noha |
Released Year | Ayam e Fatmiyah |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin