Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as) Noha Lyrics Irfan Haider New Noha 2021
Ya Fatima (sa) Ya Husasin (as)
Ay Azadaro Ay Wafadaro
Tum Salmat Raho Ta Qayamat Raho
Main Chahti Hung Ki Tum Hamesha
Yea Farsh-e-Majlis Bichaye Rakhna
Nibhaya Tha Main Nay Tha Aik Wada
Tumhain Bhi Wada Hay Ik Nibhana
Bhool Na Jana Yea Dunya Fani Hay
Laga Hi Rehta Hay Ana Jana
Hussain (as) Ka Gham Manany Walo
Labon Par akhna Yahi Sada
Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as)
Yea Kalay Kapray Alam Sabeelain
Yea Tazeye Aor Labong Pay Har Dam
Nishan-E-Haider Say Kam Nahi Hay
Tumharay Senon Pay Dag-e-Matam
Bhool Na Jana Tumhari Sari Ibadaton Ki
Zarur Daingay Tumhain Jaza
Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as)
Najaf Say Pedal Alam Utha Kar
Badhay Chalo Karbala Ki Janib
Wafa Ka Qibla Bula Raha Hay
Tumhain Bhi Shehr Wafa Ki Janib
Bhool Na Jana
Qadam Jonhi Karbala Main Rakhna
Yea Ro Kay Kehna Shukrya
Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as)
Yea Soz Khuwani Salam O Nohay
Tumhara Wirsa Hay Pursadari
Azal Say Karbo Bala Kay Tum Ho
Azal Say Karbobala Tumhari
Bhool Na Jana
Bariz Mehshar Bhi Daikh Laina
Faza Mai Gonjay Gi Yea Sada
Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as)
Mere Labon Par Yahi Dua Hay
Jahan Main Ho Jaye Tum Say Razi
Tumhari Jitni Bhi Hajatain Hain
Wo Puri Kar Dega Mera Ghazi (as)
Bhool Na Jana
Yea Keh Kay Apni Murad Mango
Sakina (sa) Bibi Ka Wasta
Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as)
Yahi Ada To Zamanay Bhar Kay
Yazeedon Ko Jala Rahi Hain
Dilon Pay Churiyan Chala Rahi Hay
Sada Yea Sehvan Say Aa Rahi Hay
Bhool Na Jana
Yahi To Wo Zikr Hay Ki Jisnay
Muje Qalandar Ban Dia
Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as)
Subah Say Apnay Fidayion Kay
Jo Ban Main Lashay Utha Raha Tha
Janab Zahra (sa) Kay Samnay Jo
Galay Ko Apnay Kata Raha Tha
Bhool Na Jana
Nabi (S) Lipat Ali (as) Say Roye
Yea Bain Kar Kar Kay Barha
Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as)
Salam Us Pay Jo Qaid Main Bhi
Hussain (as) Ka Gham Mana Rahi Thi
Asser Ho kay Jo Sham O Kufa
Main Apna Wada Nibha Rahi Thi
Bhool Na Jana
Usi Behen Ka Yea Faisla Hay
Rahay Ga Jari Yea Silsila
Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as)
Nigah Zahra (sa) Main Mohtaram Ho
Qasam Khuda Ki Ba-Hukm Haider (as)
Yea Nkari Ras Aa Gaye Hay
Tumhain Bhi Irfan Aor Akhtar
Bhool Na Jana
Hamara Dast-e-Karam Hay Tum Par
Laga Do Yea Nara-e-Aza
Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as)
Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as) Noha Lyrics Irfan Haider New Noha in Urdu Text
Noha Title | Ya Fatima (sa) Ya Hussain (as) |
Reciter Name | Irfan Haider |
Poetry By | Allama Syed Akhtar Abbas Zaidi Al-Arabi |
Released On | Irfan Haider YouTube Channel |
Sangat | Sonu Monu |
Category | Noha |
Released Year | Muharram 1442 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin