Type Here to Get Search Results !

Woh Bas Ali Hai Lyrics Master Syed Muhammad Shah Mohsin Jaffri

Woh Bas Ali Hai Lyrics Master Syed Muhammad Shah Mohsin Jaffri

Ya Ali Jhukti Hai Jab Teri Yeh Pur Noor Jabeen.
Tab Musalay Pe Koi Noor Bikharta Ho Ga.
Teri Khairat Pe Aayat Utarti Hain Tu Phir.
Tere Sajdoon Mein Tu Rab Aap Utarta Ho Ga.

Bashar Ka Idrak Jis Haqeeqat Se Ajnabi Hai
Woh Bas Ali(as) Hai.
Woh Jis Ki Thokar Ka Dosra Naam Zindagi Hai
Woh Bas Ali Hai. 

Yeh Sab Hain Iss Ki Wila Ke Darjay Silay Hain
Sab Iss Ki Marifat Ke.
Woh Jis Ke Sadqay Koi Nabi Hai Koi Wali Hai
Woh Bas Ali(as) Hai.

Wohi Nabi Ko Bata Raha Hai Jo Aayatein Le Ke
Aa Raha Hai.
Yaqeen Hai Mujh Ko Jo Zaat Aayat Bhaijti Hai
Woh Bas Ali(as) Hai.

Nabi Ke Humrah Do Jahan Jis Batool(sa) Ke Wastay
Kharey Hain.
Wohi Batool(sa) Uth Ke Jiski Tazeem Kar Rahi Hai
Woh Bas Ali(as) Hai.

Amal Sabhi Mohtaram Hain Jin Ke Khiloney
Loh -o- Qalam Hain Jin Ke.
Woh Jis Ki Aoulad Chand Soraj Se Khailti Hai
Woh Bas Ali(as) Hai.

Kabhi Yeh Sajday Mein Sar Jhukaye Kabhi Yeh
So Kar Khuda Banaye.
Woh Jis Ki Ik Neend Rab Ki Marzi Se Qeemati
Hai Woh Bas Ali(as) Hai.

Woh Iss Taraf Ho Tu Murtaza Hai Ho Oss Taraf
Tu Khuda Khuda Hai.
Nishani Sab Se Bari Jo Mairaj Mein Chupi Hai
Woh Bas Ali(as) Hai.

Khulay Ga Yeh Raaz Rooz-e- Mehshar Woh
Kul-e- Naimat Hain Sirf Haider.
Hisab Jis Ki Wila Ka Tauheed Mangti Hai Woh
Bas Ali(as) Hai.

Hai Mohsin Apna Tu Yeh Aqeeda Ali Khazana
Hai Fatima(sa) Ka.
Jisay Bananey Batool Darbar Tak Gayi Hai Woh
Bas Ali(as) Hai.

Woh Bas Ali Hai Lyrics Master Syed Muhammad Shah Mohsin Jaffri in Urdu Text

یا علی جھکتی ہے جب تیری یہ پر نور جبیں
تب مصلے پہ کوئی نور بکھرتا ہو گا
تیری خیرات پہ آیات اترتی ہیں تو پھر
ترے سجدوں میں تو رب آپ اترتا ہو گا

بشر کا ادراک جس حقیقت سے اجنبی ہےے وہ بس علی ہے

وہ جس کی ٹھوکر کا دوسرا نام زندگی ہے وہ بس علی ہے

یہ سب ہیں اس کی ولا کےدرجےصلےہیں سب اس کی معرفت کے
وہ جس کے  صدقے کوئی نبی ہے کوئی ولی ہے وہ بس علی ہے

وہی نبی کو بتا رہا ہے جو آیتیں لے کے آ رہا ہے
یقیں ہے مجھ کو جو ذات آیات بھیجتی ہے آ رہی ہے


نبی کے ہمراہ دو جہاں جس بتول کے واسطے کھڑے ہیں
وہی بتول اٹھ کے جسکی تعظیم کر رہی ہے وہ بس علی ہے

عمل سبھی محترم ہیں جن کے کھلونے لوح و قلم ہیں جن کے
وہ جس کی اولاد چاند سورج سے کھیلتی یے وہ بس علی ہے

کبھی یہ سجدے میں سر جھکائے کبھی یہ سو کر خدا بچائے
وہ جس کی اک نیند رب کی مرضی سے قیمتی ہے وہ بس علی

وہ اس طرف ہو تو مرتضی ہے ہو اس طرف تو خدا خدا ہے
نشانی سب سے بڑی جو معراج میں چھپی ہےوہ بس علی ہے

کھلے گا یہ راز روز محشر، وہ کل نعمت ہیں صرف حیدر
حساب جس کی ولا کا توحید مانگتی ہے وہ بس علی ہے

ہے محسن اپنا تو یہ عقیدہ علی خزانہ ہے فاطمہ کا
جسے بچانے بتول دربار میں گئی ہے وہ بس علی ہے


Manqabat Title Wo Bas Ali Hay
Reciter Name Master Syed Muhamad Shah
Poetry By Mohsin Jaffri
Released On  Syed Muhammad YouTube  Channel
Released By NA
Category Manqabat
Released Year 2020
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.