Aankhen Taras Gai Hain Ziyarat Ke Wastay Noha Lyrics Urdu Master Syed Muhammad Shah Mohsin Jafri Poetry
Ankhein Taras Gai Hai Ziyarat Kay Wasty
Aye Madar e Hussain Mujhe Izn Dijiyeh
Deedar e Karbala Meri Ankho Ka Rizq Hai
Us Shehr Ki Hawa Meri Sanso Ka Rizq Hai
Sajdo Ka Rizq Hai Kahi Askho Ka Rizq Hai
Qasim Kay Sadqay Rizq Yeh Taqseem Kijyeh
Babul Hussain Aye Shah e Wala Kay Bawafa
Abbas Tuj Ko Bali Sakina Ka Wasta
Kuch Dair aur Mujko Nahi Izn Gar Mila
Ruk Jayenge Yahi Meri Sanso Kay Qaflay
Chokat Kay Chumnay Ko Jabee'n BayQarar Hai
Tayar Khoo'n Bahany ko Har Pursadar Hai
Qaim Namaz e Ishq ho Phir Intezar Hai
Aisa Na Ho Juda Meri Rooh Jism Say
Hon Nehr e Alqama Pay Kabi Qatl Gha Mai
Tilaa e Zainabi Pay Kabhi Khaima Ghaa Mai
Har Pal Khayal Karbobala Hai Nigha Mai
Yeh Khwab Yeh Khayal Haqeeqat Mai Phir Dhale
Nazarein Abhi Rabab ki Hain Zakham e Teer Per
Wo Maa b Muntazir Hai Muqaam e Sageer Per
Jhoolay Kay Ass Pass Yeh Veerani Dekh Kar
Phr Teer Na Rabab Kay Dil Per Kahi Chalay
Is Qalb e BayQarar Si Hai Kaifiyat Yahan
Sughra Kay Intezar Si Hai Kaifiyat Yahan
Karti Hai Umm e Salmaa Say Ro Ro Kay Yeh Baya'n
Lenay Zaroor Ayeenge Meray Chacha Mujhe
Akbar Giray Thy Zeen Say Us Khak Per Jahan
Bheti Hai Pursa Lenay Ko Ik Maa Abhi Wahan
Marham Hai Us Kay Zakhamo Ka Yeh Askh Siskiya'n
Jis Ka Kaleja Zakhmi Hai Barchi Kay Zakhm Se
Mohsin Ki Yeh Dua Hai Muhammad ki Ilteja
Ya Rab Tujay Hussain Ki Ankho Ka Wasta
Hasil Rahay Yeh Nemat e Ashq e Aza Sada
Ho Har Waba Ka Khatama Khul Jaye Raaste
Aankhen Taras Gai Hain Ziyarat Ke Wastay Noha Lyrics Urdu Master Syed Muhammad Shah in Urdu Text
Noha Title | Ankhain Taras Gai Hain Ziyarat Kay Wastay |
Reciter Name | Master Syed Muhammad Shah |
Poetry By | Mohsin Jafferi |
Released On | Syed Muhammad Shah YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Muharram |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin