Fitrus Ka Masiha Lyrics 3 Shaban Manqabat Imam Hussain as 2021
Fitrus ka maseeha rahib ka sakhi hai
Wo naz e khuda wund Hussainع ibne Aliع hai
Zehraس ki dua hai tujhe haiderع ki madad hai
Peshani pe rumal nahe hai ye sanad hai
Aey Hurع teri qismat khud jisne likhi hai
Wo naz e khuda wund Hussainع ibne Aliع hai
Khilqat pe teri fakhar kare khaliq e adamع
Maa malka e koneen pidar malik e aalam
Mehboob e mouhammadص jo ishq e jali hai
Wo naz e khuda wund Hussainع ibne Aliع hai
Karti hai ghurur iske muqaddar pe khudai
Hai zainabس o kulsoomس si behnon ka ye bhai
Beti bhe sakinaس si jisko mili hai
Wo naz e khuda wund Hussainع ibne Aliع hai
Dunya me nahe koi Hussainع ibne Aliع sa
Aey chand bata husun bayan kaise ho uska
Jiska Ali akberع hum shakal e Nabi ص hai
Wo naz e khuda wund Hussainع ibne Aliع hai
Dunya me yazeed ab kabhi zinda nahe hoga
Bas nam e hussainع ibne Aliع zinda rahega
Wo jiski mohabbat har dil me basi hai
Wo naz e khuda wund Hussainع ibne Aliع hai
Sarwar jo sawaar ake hue pusht e nabi par
Khaliq ne kaha sajda barha do aey payamberص
Han jisko salami sajdoon ki mili hai
Wo naz e khuda wund Hussainع ibne Aliع hai
Chahat hai agar dil me k ae na koi ghum
Bacho ko sikhate raho shabirع ka matam
Dar asal wo jiske ghum me bhe khushi hai
Wo naz e khuda wund Hussainع ibne Aliع hai
Iske he sabab baqi hein dunya me namazen
Zeeshan sada dete hein sajda o azaneen
Wo jiske sabab ye toheed bachi hai
Wo naz e khuda wund Hussainع ibne Aliع hai
Manqabat Title | Fitrus Ka Masiha |
Reciter Name | Kabeer and Dayan |
Poetry By | Zeeshan Abidi |
Released On | Joan Rizvi YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Manqabat |
Released Year | 03 Shaban 2021 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin