Type Here to Get Search Results !

Kazim Ka Janaza Hai Noha Imam Musa Kazim as Mir Hasan Mir

Kazim Ka Janaza Hai Noha Imam Musa Kazim as Mir Hasan Mir New Noha Lyrics in Urdu

Baghdad Ke Qaidi Par Zindan Bhi Rota Hai.

Iss Dard Ne Turbat Mein Sajjad(AS) Ko Tarpaya.
Zindaan Se Nikal Kar Bhi Aazad Na Ho Paya.
Hai Pehla Janaza Jo Zanjeeron Mein Jakra Hai.

Zanjeeron Ko Takti Hai Shano Ko Hilati Hai.
Maiyyat Ko Kabhi Apni Godi Mein Uthati Hai.
Ik Hath Hai Pehlu Par Lagta Hai Yeh Zahra(SA) Hai

Zarray Bhi Laho Ro Kar Rodad Sunate Hain.
Qadmo Ke Nishaan Iss Ke Zindaan Mein Batate Hain.
Yeh Nazaa Ke Aalam Mein Kis Tarha Se Tarpaya Hai.

Jo Loag Guzarte Hain Aapas Mein Yeh Kehte Hain.
Ghar Walay Tu Yasrab Mein Iss Qaidi Ke Rehte Hain.
Phir Iss Ke Janazay Par Yeh Koan Zaeefa Hai.

Kehti Hai Koi Bibi(SA) Hai Waqt Musibat Ka.
Ab Jald Madine Se Aa Ja Aye Raza(AS) Aa Ja.
Be-Goor-o-Kafan Kab Se Beta Tera Baba Hai.

Har Rooz Hi Jati Hai Woh Turbat-e-Zahra(SA) Par.
Ja Kar Wahan Kehti Hai Masooma-e-Qum(SA) Ro Kar.
Dadi Mere Baba Ko Kya Aap Ne Dekha Hai

Shabir(AS) Ki Ghurbat Ka Noha Yeh Sunate Hain.
Sokhe Howay Lab Iss Ke Ummat Ko Batate Hain.
Iss Ne Bhi Dam-e-Aakhir Pani Nahi Paya Hai.

Ghurbat Hai :TAKALLUM: Yeh Shabir(AS) Ki Ghurbat Si.
Ik Beti Hai Yasrab Mein Sughra(SA) Ki Tarha Iss Ki.
Iss Wastay Maiyyat Ka Rukh Soye-e-Madina Hai

Kazim Ka Janaza Hai Noha Imam Musa Kazim as Mir Hasan Mir New Noha Lyrics in Urdu Text

مزدور کے کانددوں پہ کاظم (ع) کا جازہ ہے

اس دردنے تربت میں سجاد (ع) کو تڑپایا
زنداں سے نکل کر بھی آزاد نہ ہو پایا
ہے پہلا جنازہ جو زنجیروں میں جکڑا ہے

زنجیروں کو تکتی ہے شانوں کو ہلاتی ہے
میت کو کبھی اپنی گودی میں اٹھاتی ہے 
اک ہاتھ ہے پہلو پر لگتا ہے کہ زہرا (س )ہے

زرے بھی لہو رو کر روداد سناتی ہے
قدموں کے نشاں اس کے زنداں میں بتاتی ہے
یہ نازا کا عالم میں کس طرح سے تڑپایا ہے

جو لوگ گزرتے ہیں آپس میں یہ کہتے ہیں 
گھر والے تو یثرب میں اس قیدی کا رہتے ہیں
پھر اس کے جنازے پر یہ کون ضعیفہ ہے

کہتی ہے کوئی بی بی ہے وقت مصیبت کا
اب جلد مدینے سے آجائے رضآ (ع)) آجا
بے گور و کفن کب سے بیٹا تیرا بابا ہے

ہر روز ہی جاتی ہے وہ تربت زہرا (س) پر
جا کر وہاں کہتی ہے معصومہ قم (س) رو کر
دادی میرے بابا کو  کیا آپ نے دیکھا ہے

شبیر (ع) کی غربت کا نوحہ یہ سناتی ہے
سوکھے ہوئے لب اس کے امت کو بتاتی ہے 
اس نے بھی دم آخر  پانی نہیں پایا ہے

غربت ہے تکلم یہ شبیر (ع) کی غربت سے
اک بیٹی ہے یثرب میں صغرا (س) کی طرح اس کے
اس واسطے میت کا رخ سوئے مدینہ ہے

Noha Title Kazim as Ka Janaza Hay
Reciter Name Mir Hasan Mir
Poetry By Mir Takallum
Released On  Mir Hasan Mir YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year ShahadatImam Musa Kazim as
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.