Type Here to Get Search Results !

Munajat Imam Hussain as Sayyadi Mola Hussain (as) Ameer Hasan Aaamir Munajat 3 Shaban

Munajat Imam Hussain as Sayyadi Mola Hussain (as) Ameer Hasan Aaamir Munajat  3 Shaban

mere haadi mere rahebar mere monis mere yawar 
mere murshid mere hamdam mere aaqa mere maula 


Aye  hamare hami o yawar hai tujh se ilteja
 kun karam bar hale ma ya sayadi maula husain 
dil k goshe se nikal kar ayi hai lab pe sada 
kun karam bar hale ma ya sayadi maula husain


Aafaten  aur mushkilen dushwariayn hain samne 
hai dawa koi nahi bimariyan hain samne 
abid e bimar ke sadqe me tu dede shifa 
kun karam ......


Goud jo suni padi hai us ko tu abaad kar 
hain jo be aulaad un ko sahibe aulaad kar
wasta dera hon tujh ko asghar e besheer ka 
kun karam .....


Dhoop hai ranj o alam ki aur nahi hai sayba'n
chadar e tatheer ke sadqe me aye shahe jina
daal de sar pe hamare apni rahemat ki rida 
kun karam....


Kaash ban jaye hamara ye muqdar jite ji
ilteja hai aap se aye ibn e haidar jite ji
is baras ban jaon me bhi zaire karbobala 
kun karam....


Muflis o nadaar hain aur be kaso majboor hain
jo talash e rizq apne watan se door hain
kijiye imdaad un ki aap hain hajat rawa
kun karam...


Zulm aur dahshat ki in kaali ghataon ne hame
har tarf se gher rakha hai balaon ne hame 
haami o nasir hai tu is qaid se kar de reha 
kun karam...


Manzilen qadmon me hon chhubhi na payen haadsaat 
zindgi khush haal ho dukh drd se payen najaat
qarz me jo mubtela hain qarz ho unka ada 
kun karam...


Hain jalane ke liye betaab mera ashiya'n
nafraton ki jo chamakti hain falak pe bijliya'n
mere maula mujhko to khana badoshi se bacha 
kun karam...


Be basi se jinki ankhen ho gayin hai ashkbaar
jo jawa'n beti ke rishte ke liye hain bekarar
khol de un ke liye tu ghaib se ab rasta 
kun karam....


Be hayai se bacha aur gumrhi ke saye se
door maan bahenon ko rakh be pardigike saye se
aye mere maula hai zainab k rida ka wasta 
kun karam...


Jab talk hai zindgi tujh se wafadari karon 
gham manaon mai tera teri azadari karon 
hai azadaron ki tujh se bas yahi ek ilteja
kun karam ...


Dast basta hai guzarish aye ali ke nore ayen
hashar tak raazi tu rahna ham se aye maula husain
rooth jaye ye zamana par na hona tu khafa
kun karam...


Dil me tera gham liye maula tere zakir rahen 
ayse duniya me shanawar aur ye aamir rahen
haath phae laye ye dono kar rahe hain ab dua
kun karam.
Munajat Title Munajat Imam Hussain as
Reciter Name Ameer Hasan Aaamir
Poetry By Shanawar Makanpuri
Released On  Ameer Hasan Aamir YouTube  Channel
Released By NA
Category Munajat
Released Year 3 Shaban 2021
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.