Shaame Garibaan Noha Ghazi Aulaade Ali Na Soye Gi Syed Mohammad Shah
Ghazi Ab Chain ki Neend Kabhi Aulad e Ali Na Soyegi
Jo Soti Thi Tery Phery Mai Wo Ankh Kabhi Na Soyegi
Jo Jagtay Thay Teri Haibat Say wo Shami Chain Sy Soyegye
Lekin Baba Kay Seenay Per Sonay Wali Na Soyegi
Tu Soja Chain Say Maqtal Mai Abbas Ruqiya Zinda Hai
Ab Teri Jaga Humsheer Teri Phera Daygi Na Soyegi
Bin Bazao Kay Kesay Ghazi Tu Zee'n Say Zamee Per Aya Hai
Sun Kar Yeh Musibat Zainab Say Maa Jeetay Jee Na Soyegi
Yeh Ibn e Nofil Kehta Tha Itna Mara Hai Zainab ko
Zakhmo Kay Sabab Ghazi Ki Bhen Ab Qabar Mai b Na Soyegi
Darbar Mai Qatil Akbar Ka Kehta Tha Mera Dawaa hai
Barchi Ka Zakham Jo Yad Raha Maa Akbar Ki Na Soyegi
Asgher Kay Bad Na Ayegi Ab Neend Rabab ki Ankho Mai
Ayega Nazar Khali Jhula Khalii Jhulii Na Soyegi
Mohsin Sajjad Or Zainab Kay Yeh Ashk Nahi Ab Ruk Sakty
Gar Ankhein Takh Kay So b Gai Ankho ki Nami Na Soyegi
Shaame Garibaan Noha Ghazi Aulaade Ali Na Soye Gi Syed Mohammad Shah in Urdu Text
Noha Title | Ghazi as Aulaade Ali as Na Soye Gi |
Reciter Name | Master Syed Muhammad Shah |
Poetry By | Mohsin Jafri |
Released On | Syed Muhammad Shah YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Muharram |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin