Fariyad E Quran Lyrics Ameer Hasan Aamir 2021 Special Kalam For Ramzan 2021
Tumhare ghar me Aye logon Koi mazloom rehta hai
Zara dhoundu talashi lo kahe rota sisakta hai
Tumhare ghar me ay logon koi mazlum rahta hai
1)Kabhi eiman ki ainak laga kar dhundhna usko
Kabhi ghar ke kise goshe me jakar dhoundhna usko
Kabhi tum ghour se sunna bahut Fariyad karta hai....
Tumhare ghar me.....
2)Jaha par zulm hota hai waha rahmat nahi aati
Hazaro'n vird kar dalo magar barkat nahi aati
Karega hashar me dawa abhi khamosh baitha hai....
Tumhare ghar me...
3)Kabhi baten karo us se ye dil ki baat karta hai
Wo mazi hal mustaqbil ki tum se baat karta hai
Tadabbur aur tafakur ki tume talqeen karta hai....
Tumhare ghar me....
4)Kabhi le jata hai jalte hue dozaq ke gharon tak
Kabhi parwaz karwataa hai jannat ke baharon tak
Kabhi wo ambiya ekram ke qisse sunata hai....
Tumhare ghar me...
5)Sabhi masruf hai nafsani khwahish ke tawafo me
Magar wo qaid hai juzdan ke rangeen gilafo me
Wo aapne waliyo waris ko har dam yaad karta hai.....
Tumhare ghar me...
6)Kabhi jo gham se ghabrawo toh uss se baat kar lena
Kabhi duniya se thak jaao toh uss baat karlena
Badhi dhares banhata hai sukun qalb deta hai....
Tumhare ghar me...
7)Jahan par saat apne yaar bhi sab chor jate hai
Aazizon aqraba farzand rishta tood jate hai
Wahe ye qabr ke tanhai me bhi saat rehta hai....
Tumhare ghar me...
8)Isi ke ilm se isa ne mardon ko jilaya tha
Isi ke ilm se bilqees ka bhi takht aaya tha
Iss ke ilm se pani pe insan rah chalta hai...
Tumhare ghar me...
9)Abhi bhi waqt hai ay logon badh kar dhoundlo usko
Laga lo aankh se tuba karo aur chum lo usko
Guzre kistarha se zindagi ye dars deta hai..
Tumhare ghar me...
10)Musalmano suno allah ka ehsan kehte hain
Bataun kaise Us mazloom ko quraan kehte hain
Jo aapni bebasi par raat din ansoon bahata ha...
Tumhare ghar me....
11)Suna hoga ye "aine" musa kitni durr tak pahunche
Khuda se baat karne ke liye wo toor tak pahunche
Magar quran me "aamir" khuda khud baat karta hai
Tumhare ghar me...
Kalam Title | Fariyad E Quran |
Reciter Name | Ameer Hasan Aamir |
Poetry By | Ainee Rizvi |
Released On | Ameer Hasan Aamir YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Ramadan 2021 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Read More -
Social Plugin