Type Here to Get Search Results !

Noha Hazrat Ali Akbar Lyrics Pidar Ki Maut Hai Marnaa Jawaan Betay Ka

Noha Hazrat Ali Akbar Lyrics Pidar Ki Maut Hai Marnaa Jawaan Betay Ka 

Pidar ki maut hai marnaa jawaan betay ka
Safar jahaan sey karnaa jawaan betay ka
Ghazab hai khoon may bharnaa jawaan betay ka
Sitham hai jee sey guzarnaa jawaan betay ka

Shabaab tha ke shahey mashraqain sey chutey
Mohibbo peeto ke Akbar Hussain (as) sey chutey

Khuda pidar ko na dikhlaaye marg-e-rahaat-e-jaan
Kaleja zakhmi ho.jab dil ko phir kharaar kahaan
Idhar to seena-e-Akbar se guzri nok-e- sinaa
Lahoo udhar huva chashmey Imaam e-deen sey ravaan

Tadap ke jaanib-e- gardhoo nigah ki sheh ney
Zameen hilgayee ek aisi aah ki sheh ney

Pukaartey huve daudey meray shaheed pisar
Meray jawaan meray mehroo meray sayeed pisar
Meray Haseen meray Yousuf meray Rasheed pisar
Qareeb ho kahin maidaan se ya bayeed pisar

Pidar pey aaj nayee waaredaath hai beta
Khabar nahin mujhe din hai ke raat hai beta

Kidhar gaye meray gul pairahan Ali Akbar as
Meray khaleeq meray kam sokhan Ali Akbar as
Jawaana rnarg-e-ghareebul watan Ali Akbar as
Ujaad kar gaye mera chaman Ali Akbar as

Bulaakey ghar se yahaan ashqiyaa ney loot liya
Duhaayi hai ke mujhey karbala ney loot liya

Pukaartey thay ke aye sheir phir pukaar mujhey
Nahin bathaney ke laasha yeh nabakaar mujhey
Teray firaaq mai hai zeesth naagawaar mujhey
Sada sunadey mai sadqey phir ek baar mujhey

Galey lagaalo ke seenaa hamaara jalta hai
Kaleja muh sey koyi dum mai ab nikaltha hai

Pukaari devdi sey bano pisar mila ke nahin
Bataao marham-e-zakhm-e-jigar mila ke nahin
Sitham ke abr may mera qamar mila ke nahin
Ali ke laal woh aali gohar mila ke nahin

Shitaab laao meray mannatoun ke paaley ko
Tumhee sey loongi main apney muraadoun waaley ko

Yeh zikr tha ke sadaa aayi door sey naagah
Janab-e-qibla-o-kaaba ab aayieh lillah
Huzoor haal sey betay ke kya naheen aagah
Zabaan aeint gayi hai ghulam ki yaa shah

Ukhad raha hai dum ab maut jaan lethi hai
Pukarney ki bhi taaqath jawaab dethi hai

Sadaa yeh sunthey hi sultan-e-behrouber daudey
Ye dard-e-dil tha ke thaamey huve jigar daudey
Kabhi toh fouj pa manindey shair-e-nar daudey
Kabhi idhar gaye rothay kabhi udhar daudey

Lutee huvi woh kamaayi basad talaash mili
Zameen pey khoon may ghaltaan pisar ki laash mili

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.