Type Here to Get Search Results !

Aa Gaya Mahe Aza Lyrics New Noha Muharram 2021/1443

Aa Gaya Mahe Aza Lyrics New Noha Muharram 2021/1443

Yeh Madar e Hasnain(sa) ki maqsoos ataa hai
Shabbir (as) ka matam Humme kismat se mila hai 

Aagaya Mahe aza ashk bahao logo'n
Ispe pehra nahi aansoo na chhupao logo'n

Fatema(sa) Ayin hein Jannat se Muharram Kerne
Karbala walo ka mazloomo ka matam kerne
Haat matam ke liye jald uthao logo’n

Waqt Aya Hai Jo Ek Roz Chala Jayega
Gar Kami Reh Gayi Dil Chain Nahi Payega
Apni Ankho Ko Samandar Se Milao Logo’n

Ye Waba aur Ye Maraz Kuch Bhi Na Kar Payenge
Ye Kaha Matam E Shabbir Se Takrayenge
Karke Matam Inhen Oqaat Me Lao Logo’n

Ankhe dikh laake karo maut ke aage matam
Leke badhte raho Abbas e Jari(as) ka parcham
Ham Hussaini hein ye duniya ko batao logo’n

Yeh aqeeda hai zaroor ayenge Ghazi Abbas(as)
Raasta phir hame dikhlayenge Ghazi Abbas(as)
Waasta deke sakina(sa) ka bulao logo’n

Pani Abbas(as) Sakina(sa) ke liye la na sake
Shane katwa ke bhi mashkeeze ko pohchana sake
Naam par unke sabeelo ko sajao logo’n

Yeh Muharram jinhe is saal mayassar na hua 
Jin Azadaro se mazloomo ka ye gham chuta 
Unke hisse ka bhi kuch farz nibhao logo’n

Karbala deti ‘Waiz’ ye sadayen aksar
Gar tumhe gher le duniya ki balaye aakar
Karbala walo ko awaz lagao logo

Noha Title Aa Gaya Mahe Aza
Reciter Name Featured 9 Noha Khuwans
Poetry By Syed Waiz Hasan Sultanpuri
Released On  Azadari Chitora YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Muharram 2021
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.