Noha Shahadat Hazrat Muslim as Lash E Muslim Syed Shujaat Abbas New Noha 2021
Laashe Muslim as pe ye Zainab sa ne Kaha Ro Ro Ker
Aap ki Laash Bhi Be Guro Kafan Hai Bhayya
Be Kafan Kabobala Me Hai Mere Noore Nazar
Aap ki Laash Bhi be Guro Kafan Hai Bhayya
Kaisi ye aale payembar pe musibat aayi
Ranj ye dil pe sahe kis terha zehra jaayi
Bhai Shabbir as ka laasha hai pada reti per
Aap ki laash bhi be guro kafan hai bhayya
Yu tu zinda hu magar jaan kaha baaqi hai
Ab tu jeene ka bhi armaan kaha baaqi hai
Haye afsoos nahi sar pe hamare chadar
Aap ki laash bhi beest guro kafan hai bhayya
Zulm laasho pe shaheedo ke hai yu dhaye gaye
Sar kiye tan se juda ghode bhi dodaye gaye
Ab bhi taza hai nighaho me meri wo manzar
Aap ki laash bhi be guro kafan hai bhayya
Haal dekha nahi jaata hai Ruqayya sa ka zara
Kis terha dil pe uthayegi ye sadma dukhiya
Hogaye maa se juda phool se do noor e nazar
Aap ki laash bhi be guro kafan hai bhayya
Ek musafir ko hazaro ne sataya bhayi
Darul ammara se yu tum ko giraya bhayi
Khaak per jaise gira tha bani hashim ka qamar
Aap ki laash bhi beest guro kafan hai bhayya
Cheen li aale payembar ki rida aada ne
Zulm yu aap pe aur hum pe kiya aada ne
Ab hai naakhu pe rasan basta janazo ka safar
Aap ki laash bhi be guro kafan hai bhayya
Ghum ka manzar wo baya hoga Shujaat kasie
Kaanp uthi laashaye Muslim as bhi ye naale sunke
Sath naizo pe hai hamrah ha shaheedo ke bhi sar
Aap ki laash bhi be guro kafan hai bhayya
Noha Title | Lash E Muslim as |
Reciter Name | Syed Shujaat Abbas |
Poetry By | Sehanshah Hussain Manzar (India) |
Released On | Syed Shujaat YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Muharram 2021-1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | Syed Shujaat Abbas |
Social Plugin