Type Here to Get Search Results !

Nadeem Sarwar Manqabat Lyrics Who Bakamal hai Who Bemisal Hai

Nadeem Sarwar Manqabat Lyrics Who Bakamal hai Who Bemisal Hai

Ya Umme Abeeha s.a ya Umme Faqeeha s.a
Ya Ashrafunissa ya Fatima Zahra s.a
Ya Zahra s.a ya Zahra s.a ya Zahra s.a
Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Paalay Hain Khoon Se Abu Talib a.s ne Chand Phool
Ek In Main Hai Imam To Hai Doosra Rasool
Ek Asal Deen Doosra Hai Deen ka Asool
Jo Inka Hai Khayal Khuda ka Khayal Hai
Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Awal Imam Ali a.s hai Imamat ka Tajdar
Imran a.s ke Chaman Main jo Laya Nai Bahar
Jisko Ata ki Khaliq e Akber ne Zulfiqar
Jiska Wajood Deen e Muhammad s.a.w.w ki Dhaal hai

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad


Bad e Ali a.s Hassan a.s hai Risalat ka Aaina
Tora hai Jis ne Takht o Hukumat ka Aina
Hai hu bahu Rasool ki Seerat ka Aina
Kata qalam se Jisne Burai ka jal hai

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Peda Huey Hussain Alaihe Salam Jab
Jibreel a.s Dar Pe Aaye Salami ko Ba Adab
Bolay Payam Deta Hai Dono Jahan ka Rab
Ham ko Pasand Dil Se Ye Zahra s.a ka Lal Hai

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Ek Phool Fatima s.a ka Ibadat ka Zaib o Zain
Zainul Iba a.s wo Abid o Sajid Dil e Hussain a.s
Sajday ko Jiske Payar Karay Rab e Mashraqain
Khutbo’n Main Jiske Tamkanat e Zuljalal hai

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Baqir a.s Bhi Ek Phool hai Sehn e Batool s.a ka
Jiski Rago’n Me Khoon Ali a.s Aur Rasool s.a.w.w ka
Mushkl Kush Jahan me Woh Har Dil Malool ka
Nasl e abu jehal ka Issi se Qatal hai

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Ek Sadiq ul Khayal Hai Woh Sadiq ul Wajood
Jafer a.s Hai Jaferi Ke Shajar Ki Hai Wo Namood
Maqbool Bargah e Khuda Jiske Hain Sajood
Iski Fakar ke Tabe’ Muhammad s.a.w.w ki Aal hai

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Ek Lal Inka Moosi e Kazim a.s Falak Asas
Jiske Badan Pe Jad Ki Share’at ka Hai Libas
Ilm e Nabbi s.a.w.w Ki Sari Fizza Iskey Aas Paas
Jad ki Tarha Se Deen e Nabi Ki Wo Dhal Hai

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Mash’had Main Ek Lal ka DaruShifa Bhi hai
Rab ki Reza hai Iski Reza wo Raza a.s bhi hai
Is dar se Jisne Manga Hai Jo Kuch Mila Bhi hai
Rozay se Jiske Hota Nahi Rad Sawal hai

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Taqwa Main ek Phool Taqi a.s Ta Had e Khiyal
La Raib Wo Zamaney Main Be Misl o Be Missal
Khush Fikr o Khush Mizaj wa Khush Bakht be Missal
Ajdaad ki Kitab ka Harf e Kamal hai

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Ab Hai Naqeeb e Haq o Sadaqat Naqi a.s ki Bat
Ye Bat Hai Nabbi s.a.w.w Ki yehi hai Ali a.s ki Bat
Burj e Dehan Main Aa Hi Gai Roshani ki Bat
Iske Amal Se Kufr Ke Sheeshay Main Bal Hai

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Askar Mizaj Lashkar e Eemaan Ka Lashkari
Qamat Main Mustafa s.a.w.w Hai Jo Seerat Main Hai Ali a.s
Iske Pisar ke Dam se Qayamat Ruki Hui
Khamoshio’n Main Jiske Bala Ka Jalal Hai

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Tazeem ka Hai Waqt Ab Aya hai Uska Nam
Qaim Hai Jiske Dam Se Zamany Ka Kul Nizam
Nam Aaye Jiska Lab Pe to Wajib Hua Salam
Ab Qatil e Hussain ka Bachna Muhal Hai

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Rehan Wasf e Aal e Muhammad s.a.w.w Bayan Ho
Midhat Saraai ke Liye Ek Nouha Khu’an Ho
Sarwar ka Jo Nadeem ho Ahl e Zuban ho
Is Zikar ki Asaas Main Rab ka Jamal hy

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai
Jo Phool Fatima s.a ka hai Who Lazawal Hai
Awwalo na Muhammad Ausato na Muhammad
Aakhiro na Muhammad wa Kullo na Muhammad

Who Bakamal hai Who Bemisal Hai Manqabat Lyrics in Urdu Text

یــا امّ ابـیــھـا، یــا امّ فــقــیـھـا
یا اشرف النساء یا فاطمہ زہرا
یــا زہــرا یــا زہــرا یــا زہــرا

وہ باکـــمــال ہے وہ بے مـثـــال ہے
جو پھول فاطمہ کا ہے وہ لازوال ہے
اول نـا مـحـمـدۖ ، اوســط نـا مـحـمـد
آخـــر نــا مـحـمـد ، کــل نــا مـحـمـدۖ

پالے ہیں خون سے ابوطالب نے چند پھول
ایک ان میں ہے امام تو ہے دوسرا رسول
ایک اصل دین دوسرا ہے دین کا اصول
جو ان کا ہے خیال خدا کا خیال ہے

اول امام علی ہے امامت کا تاجدار
عمران کے چمن میں جو لایا نئ بہار
جس کو عطا کی خالق اکبر نے ذوالفقار
جس کا وجود دین محمدۖ کی ڈھال ہے

بعد علی حسن ہے رسالت کا آئینہ
توڑا ہے جس نے تخت و حکومت کا آئينہ
ہے ہو بہو رسولۖ کی سیرت کا آئينہ
کاٹا قلم سے جس نے برائ کا جال ہے

پیدا ہوۓ حسین علیہ سلام جب
جبرئیل در پہ آۓ سلامی کو باآدب
بولے پیام دیتا ہے دونوں جہاں کا رب
ہم کو پسند دل سے یہ زہرا کا لال ہے

اک پھول فاطمہ کا عبادت کا زیب و زین
زین العباء وہ عابد و ساجد دل حسین
سجدے کو جس کے پیار کرے رب مشرقین
خطبوں میں جس کے تمکنتہ ذوالجلال ہے

باقر بھی ایک پھول ہے صحن بتول کا
جس کی رگوں میں خون علی اور رسولۖ کا
مشکل کشاء جہاں میں وہ ہر دل ملول کا
نسل ابوجہل کا اسی سے قتال ہے

اک صادق الخیال ہے وہ صادق الوجود
جعفر ہے جعفری کے شجر کی ہے وہ نمود
مقبول بارگاہ خدا جس کے ہیں سجود
اس کی فقر کے تابع محمدۖ کی آل ہے

اک لال ان کا موسی کاظم فلک اساس
جس کے بدن پہ جد کی شریعت کا ہے لباس
علم نبیۖ کی ساری فضا اس کے آس پاس
جد کی طرح سے دین نبیۖ کی وہ ڈھال ہے

مشہد میں ایک لال کا دارالشفاء بھی ہے
رب کی رضا ہے اس کی رضا وہ رضا بھی ہے
اس در سے جس نے مانگا ہے جو کچھ ملا بھی ہے
روضے سے جس کے ہوتا نہیں رد سوال ہے

تـقـوی میں ایک پھول تـقــّی تاحد خیال
لاریب وہ زمانے میں بے مثل و بے مثال
خوش فکر و خوش مزاج و خوش بخت بے مثال
اجداد کی کتاب کا حرف کمال ہے

اب ہے نقیب حق کو صداقت نـقــّی کی بات
یہ بات ہے نبیۖ کی یہی ہے علی کی بات
برج دہم میں آ ہی گئ روشنی کی بات
اس کے عمل سے کفر کے شیشے ميں بال ہے

عسکر مزاج لشکر ایماں کا لشکری
قامت میں مصطفیۖ ہے جو سیرت ميں ہے علی
اس کے پسر کے دم سے قیامت رکی ہوئ
خاموشیوں میں جس کی بلا کا جلال ہے

تعظیم کا ہے وقت اب آیا ہے اس کا نام
قائم ہے جس کے دم سے زمانے کا کل نظام
نام آۓ جس کا لب پہ تو واجب ہوا سلام
اب قاتل حسین کا بچنا محال ہے

ریحان وصف آل محمدۖ بیان ہو
مدحت سرائ کے لیے ایک نوحہ خوان ہو
سرور کا جو ندیم ہو اہل زبان ہو
اس ذکر کی اساس میں رب کا جمال ہے

وہ باکـــمــال ہے وہ بے مـثـــال ہے
جو پھول فاطمہ کا ہے وہ لازوال ہے
اول نـا مـحـمـدۖ ، اوســط نـا مـحـمـد
آخـــر نــا مـحـمـد ، کــل نــا مـحـمـدۖ



Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.