Asghar Ko Bachalo Lyrics New Noha 2021 Ahmed Raza Nasiri
Haye Asghar as Haye Asghar as Haye Asghar as
Haye Asghar as Haye Asghar as Haye Asghar as
Maa kehti hai gardan se koi teer nikalo
Asghar ko bacha lo mere Asghar ko bacha lo
●Bechain hai betaab hai darya ki rawani
Kehta hai yahi dasht mai behta hua paani
Jaldi se mujhe halq mai be sheer ke daalo
●Darwaza e khaima pe tumhy daikh chuka hun
Sarwar ne kaha teer mai ab khench raha hun
Ay bano e muztar abhi nazro ko hata lo
●Ay abr e karam tum ye sitam dekh rahy ho
Ajao yahan dasht mai ik kaam ye kar do
Masoom mere laal pe saya he bana do
●Ye aap ki saa'nso ki hararat se jiye ga
Dil ap ki dharkan se dharakta he rahy ga
Mola mere masoom ko seeny se laga lo
●Sookhy huy halqoom se Asghar ne jo li hai
Halki si wo hichki thi magar mai ne suni hai
Malik mere bachy pe qaza aai hai taalo
●Ye chain se soya hai isy ab na satao
Ay ahl e jafa khaak pe naizy nhi maro
Turbat se mere laal ko aise na nikalo
●Jalty huy jhooly pe buka krti hai madar
Ab dhoop mai bethi ye aza krti hai madar
Naizy se utaro isy paani to pila do
Noha Title | Asghar as Ko Bachalo |
Reciter Name | Ahmed Raza Nasiri |
Poetry By | Yasir Abbas Shah |
Released On | Ahmed Raza Nasiri YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Muharram 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz/Composition | Ahmed Raza Nasiri |
Social Plugin