Awaaz To De Lyrics Ali Akbar Ameen New Noha Hazrat Ali Akbar as Muharram 2021-1443
Aye Yusuf e Mann
Aye Rahat e Mann
Aye Noor e Nazar
Aawaz to de
Banjaye na ab Marne ka sabab
Ye mera safar aawaz to de
1. Tere baba say chala bhi nahi jata beta
Ghutniyo Chalke kisi tarha yaha tak pohcha
Halat pa meri haste hai shaki
Aye mere Qamar aawaz to de
2. Apni aawaz say tu Dede sahara mujhko
Tere qatil to bataengy na rasta mujhko
Dushman say bhala ummid ho kya aye mere pisar aawaz to de
3. Tu jo nazro meri door hua meri jaa'n
Meri aakhon say juda Noor hua meri jaa'n
Budha hai padar ban meri nazar
Ab der na kar aawaz to de
4. Koi kehta hai idhar aao yaha hai akbar
Koi kehta hai udhar jao waha hai akbar
Her simt yaha dikhta hai dhua'n
Mai jaau'n kidhar aawaz to de
5. Jub lai kehte hai kya dhund raho ho Sarwar
Maar dala hai osey ab. Nahi zinda akbar
Aaye maahe laka os waqt mera
Phat'ta hai jigar aawaz to de
6. Apne baba ko phir ek baar sada do dilbar
Phir mujhe ya abata kehke pukaro dilbar
Aye mere jawa'n aye baba ki jaa'n
Tanha hai padar aawaz to de
7. Hosla rakhna mere lakhte jigar thodi der
Teri imdad Ko aata hai padar mere sher
Bus itna bata kis jaa hain gira
Kar mujhko khabar aawaz to de
8. Aye Nadeem ek qayamat ka sama' tha run mai
Kabhi uth'te they kabhi girte they mola run mai
Karte they buka dete they sada
Aye lakhte jigar aawaz to de
Noha Title | Awaaz To De |
Reciter Name | Ali Akbar Ameen |
Poetry By | Nadeem Sultanpuri |
Released On | Ali Akbar Ameen YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Muharram 1443-2021 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin