Type Here to Get Search Results !

Haye Haye Ali Asghar as Lyrics Mir Hasan Mir New Noha 2021 Muharram 1443

Haye Haye Ali Asghar as Lyrics Mir Hasan Mir New Noha 2021 Muharram 1443

●Haye Haye Ali Asgar as
Maa Ke Dulaare Ali Asghar as
Aankhon Ke Taare Ali Asghar as
Aag Lagi Hai Khaymon Main 
Aye Mere Pyare Ali Asghar as

●Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, Haye Haye Ali Asghar

Haye Haye Ali Asghar as


●Zalim Ne Tujhe Qabr Se, Iss Tarha Nikala 
Seene Pe Laga Jis Ghari, Beta Tere Naiza
Laashe Ko Tere Dekh Ke, Bola Sar-e-Akbar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huwe Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, 
Maa Ke Dulaare Ali Asghar as
Ankhon Ke Taare Ali Asghar as

●Haan Dil Tera Mil Jaye Toh, Khud Poch Lun Us Se
Kya Jurm Tha Chhe (6) Maah Ke, Bachhe Ka Bata De
Us Ny Toh Bulaya Nahi, Maa Bhi Mujhe Keh Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar as

●Ab Tak Meri Aankhon Se Woh Manzar Nahi Jata
Gardan Se Teri Khoon Tapak Ta Raha Beta
Rumaal Bhi Bandha Na Gaya Tere Galey Par
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

●Jis Teer Se Naqey Ko Giraate Hain Zameen Par
Woh Teer Laga Nanne Se Halqoom Pe Aa Kar
Tum Khoon Ugalte Rahe, Baba Se Lipat Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huwe Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

●Tum Mar Gaye Yea Baat Woh Ab Tak Nahi Maani
Zid Kar Ti Hai Bhai Ko Pilaaungi Main Paani
Kooza Liye Maqtal Main Khari Hai Teri Khuwahar
Haye haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar
Maa Ke Dulaare Ali Asghar
Aankhon Ke Taare Ali Asghar

●Majboor Thi Ghar Main Mere Pani Hi Nahi Tha
Warna To Dhula De Ti Main Yea Khoon Bhara Chehra
Dadi Sy Shikayat Nahi Karna Meri Jaa Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

●Maara Hai Sitamgar Ne Sakina Ko Tamacha
Ghazi Ki Tarha Tum Se Bhi Dekha Nahi Jaata
Band Aankhein Kiye Rote Ho Tum Noke Sina Par
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huwe Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

●Sar Iss Liye Nezay Se Gira Dete Ho Apna
Godi Main Meri Aana Hai Shayad Tumhe Beta
Lekin Hai Bandhe Haath Utha Sakti Nahi Sar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar

●Sajjad Woh Kehti Thi Chala Bhi Nahi Jaata 
Do-Chaar Qadam Baad Hi Gir Jaati Hoon Beta
Meri Bhi Kamar Kham Hai Teri Lash Utha Kar
Haye Haye Ali Asghar
Maa Kehti Thi Jalte Huay Jhule Se Lipat Kar, 
Haye Haye Ali Asghar, Haye Haye Ali Asghar
Maa Ke Dulaare Ali Asghar
Aankhon Ky Taare Ali Asghar
Aag Lagi Hai Khaymon Main 
Aye Mere Pyare Ali Asghar
Noha Title Haye Haye Ali Asgar as
Reciter Name Mir Hasan Mir
Poetry By Mir Sajjad Mir
Released On  Mir Hasan Mir  YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Muharram 1443
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.