Type Here to Get Search Results !

14+ Arbaeen Chehlum New and Old Noha List Complete Lyrics

14+ Arbaeen Chehlum New and Old Noha List with Complete Lyrics in Urdu English Hindi

Arbaeen Chehlum Noha

Noha Title Poetry By Released Date
Safar E Ishq E Karbala Zeeshan Abidi October 5, 2020
Zainab Aziz E Fatima Johar Naqvi September 25, 2020
Ashoor O Arbaeen Mir Sajjad August 8, 2021
Karbala Chalo Mir Takallum August 30, 2019
Arbaeen Ke Soghwaro NA NA
Arbaeen e Shuda e Karbala Abbas Nimr October 01, 2020
Mola Zawar Bana Dey Salman Rizvi September 16,2018
Khwab e Safar e Arbaeen Mir Sajjad October 12,2020
Ana Zawar NA October 19,2015
Tera Chehlum Karnay NA July 5,2019
Ya Saheb-az-Zamaan Zeeshan Abidi October 6,2020
Safar e Ishq e Karbala NA NA
To Bula Lejay Karbala NA NA

1- Arbaeen Chehlum Noha Safar E Ishq E Karbala Lyrics in English text


Dil Mein Ishq E Karbala Ur Aankh Mein Aansoo Liye
Hum Chaly Paidal Yahan Bhi Karbala K Wastey

Kya Hua Gar Is Baras Hum Karbala Na Ja Saky
Apny Maola Ki Kareemi Py Bharosa Hai Mujhy

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Har Qadam Zehn Mein Ho Karbala
Aur Honton Py Ya Hussaina Ho
Koi Thak Jaye Chalty Chalty Agar
Us Ki Khidmat Karo Duayen Lo
Un Duaon Ka Yeh Sila Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Koi Pyasa Agar Nazar Aaye
Us Ko Pani Pilao Tum Barh Kar
Har Azadar Ka Khayal Rakho
Ho Ga Shabbir Ka Karam Tum Par
Jam Karam Tum Py Barhaa Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Soorat E Raah E Karbala Har Soo
Hain Sabeelen Kai Moakib Hain
Dill Mein Mojood Hai Gham E Sarwar
Door Karbobala Sy Hum Kab Hain
Sab Ki Qismat Ka Faisla Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Ay Azadaro Bhool Na Jana
Yad Sadaat Ka Safar Rakhna
Haye Woh Raah E Sham Aur Kaanty
Jis Py Sajjad Nangy Paon Chaly
Bey Rida Haye Zainab E Muztar
Aur Sar Par Barasty Woh Pathar
Kholta Pani Un Py Phainka Gya
Jis Safar Mein Hussain Ki Beti
Shimr Ky Tazianay Sehti Rahi
Sar Thy Naizey Py Sab Shaheedon Ky
Aur Aseeron Ky Hath Jakrhy Thy
Ay Wafadar Ky Wafadaron
Tum Jo Azad Ho Azadaron
Bas Yeh Sadqa Hai Un Aseeron Ka
Ishq E Mabood Ky Safeeron Ka
Agy Barhty Raho Baraye Hussain
Ho Sada Lab Py Haye Haye Hussain

Ho Sada Labb Py Haye Haye Hussain

Karbala Dekhny In Ankhon Se
Itna Be Chain Hai Hamara Dill
Ay Habib E Hussain Naam Likhen
Door Rehna Hai Ab Bahut Mushkil
Naam Jis Jis Ka Likha Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Ishq E Sarwar Ki Intiha Dekho
Nangy Paon Hain Log Mehw E Safar
Us Ky Rasty Ko Saf Karty Chalo
Raah Mein Aaye Na Koi Kankar
Khidmaton Ka Jo Haq Ada Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Beth Kar Zayeron Ky Qadmon Mein
Kar Rahy Hain Jo Khidmaten Har Jaa
Dekh Kar Jazba O Khuloos Unka
Mery Dill Se Nikal Rahi Hai Dua
Un Ki Khidmat Ka Yeh Sila Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Dekhna Jald Mojza Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Yeh Safar Kijiye Qubool Hussain
Aap Ko Wasta Hai Abid Ka
Karbala Hum Bhi Jayen Agly Baras
Joan O Zeeshan Kar Rahy Hain Dua
Izn Jab Aap Ka Ata Ho Ga
Safar E Ishq E Karbala Ho Ga

Hum Chaly Paidal Yahan Bhi Karbala K Wastey
Apny Mola Ki Kareemi Py Bharosa Hai Mujhy

2- Zainab sa Aziz E Fatima Lyrics in English Arbaeen Latest Nohay Kalam

Ravi Ka Yeh Bayan Tha
Ujrha Hua Yeh Qafila
Jab Qaid Ho Ky Chal Diya
Maqtal Sy Aai Yeh Sada
Ay Zainab E Gham Ashna
Yeh Maarka Hai Sham Ka
Hafiz Tumhara Ho Khuda
Tum Ho Tumhari Karbala

Tum Ho Tumhari Karbala

Zainab Aziz E Fatimay

Bahan Thi Yun Bhi Khasta Tan
Akhi Ki Lash Bey Kafan
Ujarh Gaya Kabhi Chaman
Bacha Na Koi Gull Badan
Dilasa Dy Saky Inhen
Na Aisa Koi Bach Saka

Zainab Aziz E Fatimay

Ridayen Un Sy Cheen Kar
Kiya Gaya Barehna Sar
Phir Us Py Yeh Sitam Kiya
Phiraya Haye Dar Badar
Jhukaye Sar Hain Sharm Sy
Kary Ali Ki Beti Kya

Zainab Aziz E Fatimay

Jo Pahunchy Sham Mein Haram
Uthaye Har Qadam Py Gham
Jari Ki Ba Haya Behan
Barhaye Kis Tarha Qadam
Jhukaye Sar Dua Yeh Ki
Elahi Bhej Dy Qaza

Zainab Aziz E Fatimay

Saron Py Sang Mar Kar
Hain Shad Aaj Ahl E Shar
Yeh Dekh Kar Phata Na Kiun
Ali Ki Beti Ka Jigar
Na Jany Sabr Kis Tarha
Nabi Ki Aal Ny Kiya

Zainab Aziz E Fatimay

Inhen Sitam Sha’aar Ny
Bataya Baghi Jis Gharhi
Sar E Hussain Ro Parha
Sitam Ki Bijli Gir Parhi
Qayamat Aur Ho Gai
Yeh Dekh Kar Wahan Bapa

Zainab Aziz E Fatimay

Main Johar Aisa Mushkilen
Bayan Kis Tarah Karun
Yeh Hashim Aisy Bayn Hain
Inhen Main Kis Tarha Parhun
Rawan Huye Hain Ashk E Gham
Kalam Jis Ny Yeh Suna

Zainab Aziz E Fatimay

3.- Ashoor O Arbaeen Pe Hum Ko Bula Hussain Lyrics in English Text


Labaik Ya Hussain Labaik Ya Hussain

Labbaik Ya Hussain Labbaik Ya Hussain

Ashoor O Arbaeen Pe Hum Ko Bula Hussain
Labaika Ya Hussain Labbaika Ya Hussain

Sajdy Ny Tery Deen Ki Izzat Barhai Hai
Teri Namaz Kaaby Ky Bhi Kam Aai Hai
Zinda Hai Tery Naam Sy Nam E Khuda Hussain
Labbaik Ya Hussian Labbaik Ya Hussain

Hai Kitny Momineen Jo Hajj Par Na Ja Saky
Bethy Hain Apny Dill Mein Yeh Armaan Liye Huye
Is Saal Tery Rozy Py Hajj Ho Ada Hussain
Labbaik Ya Hussian Labbaik Ya Hussain

Kya Karbala Hai Sirf Ameeron Ky Wasty
Kya Door Sy Hi Dekh Ky Mazdoor Khush Rahy
Koi Sabeel Koi To Rasta Bana Hussain
Labbaik Ya Hussian Labbaik Ya Hussain

Awaz Dy Qadam Nahi Peechy Hataun Ga
Koi Kahy Ga Hath To Gardan Kataun Ga
Is Khadim E Habib Ka Wada Raha Hussain
Labbaik Ya Hussian Labbaik Ya Hussain

Ay Karbala Ky Syed O Sardar Assalam
Sooraj Tawaf Kar Ke Yeh Kehta Hai Subh O Sham
Tery Diye Sy Jalta Hai Mera Diya Hussain
Labbaik Ya Hussian Labbaik Ya Hussain

Kis Ko Dikhayen Zakhm Maseeha Koi Nahi
Mola Hamara Poochny Wala Koi Nahi
Hai Kon Ham Ghareebon Ka Tery Siwa Hussain
Labbaik Ya Hussian Labbaik Ya Hussain

Ya Hussain

Qasim Ka Lasha Dasht Mein Pamal Kar Diya
Quran Hasan Ka Dasht Mein Sara Bikhar Gaya
Tukron Ky Us Ky Ati Thi Phir Bhi Sada Hussain
Labbaik Ya Hussian Labbaik Ya Hussain

Teri Yateem Bachi Bhi Peechy Nahi Hati
Panjon Ky Ball Chali Hai Woh Lekin Nahi Ruki
Yeh Kehty Kehty Aa Gai Us Ko Qaza Hussain
Labbaik Ya Hussian Labbaik Ya Hussain

Sar Tha Tery Ghareeb Ka Pathar Ky Waar Py
Tery Pisar Ky Pairon Ky Chaalon Mein Khaar Thy
Phir Bhi Zubaan Sy Kehta Tha Beta Tera Hussain
Labbaik Ya Hussian Labbaik Ya Hussain

Sajjad Wohi Banty Hain Bas Zayer E Imam
Apny Qalam Sy Likhty Hain Abbas Un Ky Naam
Ghazi Sy Keh Ky Karbala Hum Ko Bula Hussain
Labbaik Ya Hussian Labbaik Ya Hussain

4- Karbala Chalo Karbala Chalo Lyrics in English Arbaeen 2021-2022 La

Karbala Chalo Karbala Chalo
Karbala Chalo Karbala Chalo

Karbala Karbala Karbala
Karbala Karbala Karbala

Alla Hum Arzuqna Ziyarat Al Hussain
Alla Hum Arzuqna Ziyarat Al Hussain

Karbala Chalo, Karbala Chalo
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Lo Aa Gya Bulawa Mazloom E Karbala Ka
Karbala Chalo, Karbaal Chalo

Maan Muntazir Hay Bety Ky Gham Khuwar Ayen Gay
Aa Kar Mery Hussain Py Aanso Bahayen Gay
Bint E Rasool Takti Hai, Tum Sab Ka Rasta
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Zahra Ka Laal Qabr Mein Hasrat Yeh Ly Gya
Akbar Ka Kalma Goyon Ny Pursa Nahi Diya
Ab Sheh Ko Pursa Dena Hai, Karyal Jawan Ka
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Jee Bhar Ky Apny Bhai Ko
Zainab Na Ro Saki
Majlis Zameen E Karb O Bala Par Na Ho Ski
Armaan E Syeda Mein Bichany Saf E Aza
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Khanjar Taly Hussain Ki Aahen Gawaah Hein
Hal Min Rooh E Sunaan Ki Sadayen Gawah Hain
Kab Sy Hamen Bulata Hai, Zahra Ka Ladla
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Jis Khaak Ny Chupaya Tha Bint E Ali Ka Sar
Jis Ny Kafan Bnaya Tha Laash E Hussain Par
Us Kar Bala Ki Khaak Ka Karny Ko Shukriya
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Bazoo Kataa Ky Jis Jaga Abbas So Gaye
Armaan Ba Wafa Ky Jahan Dafn Ho Gaye
Aansoo Wahan Girayen Gay Pani Jahan Gira
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Qismat Sy Waqt Aye Ga Jab Yeh Hayaat Mein
Tum Apni Betion Ko Bhi Ly Jana Sath Mein
Akbar Ko Woh Sunayen Gi Sughra Ka Marsiya
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Ik Saal Baad Aye Ga Sar Jis Gharhi Mera
Abid Sy Ro K Kehti Thi Yeh Bint E Syeda
Dafnaon Gi Main Hathon Sy Sar Apny Bhai Ka
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Chehlum Bhi Apny Baap Ka Bachi Na Kar Saki
Roti Hui Wo Sham Ky Zindaan Mein Mar Gai
Ay Kaash Koi Keh Dy Sakina Sy Yeh Zubaan
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Labaik Labaik Labaik Ya Hussain
Labaik Labaik Labaik Ya Hussain

Is Saal Arbaeen Py Aisa Ho Ehtmam
Ay Kaash Zayeron Mein Ho Shamil Hamara Naam
Aur Dain Hamen Bhi Hazrat E Abbas Yeh Sadaa
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Ghurbat Musafiron Ki Musafir Samajh Saken
Kaisy Chali Thiin Bibian Andaza Ho Hamen
Aansoo Bahaty Sheh E Najaf Sy Piyada Paa
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Chehlum Py Jaisy Ati Hain Zainab Bhi Sham Sy
Izn E Safar Mily Jo Takallum Imam Sy
Har Ik Qadam Zahoor Ki Karty Huye Dua
Karbala Chalo, Karbala Chalo

Alla Humm Arzuqna Ziyarat Al Hussain
Alla Humm Arzuqna Ziyarat Al Hussain

5- Arbaeen Ke Soghwaro Alwida Marsiya Chehlum Imam Hussain as 2022


Arbaeen Ke Soghvaro Alwida
Aakhree Majlis Hai Yaaro Alwida

Khathima Bil Qair Chehlum Ka Hua
Alwida Ay Ashq Baaro Alwida
Arbaeen Ke Soghvaro Alwida

Akbaro Asghar Ali Ki Zamini
Nowjawano Sheer Khaaro Alwida
Arbaeen Ke Soghvaro Alwida

Kehte Thay Ganje Shaheedan Par Haram
Fathima Zehra Ke Pyaro Alwida
Arbaeen Ke Soghvaro Alwida

Karbala Ki Khaak Ko Saumpa Tumhay
Arshe Aazam Ke Sitaro Alwida
Arbaeen Ke Soghvaro Alwida

Khabr Par Beton Ki Zainab Ne Kaha
Maa Watan Jaati Hai Pyaro Alwida
Arbaeen Ke Soghvaro Alwida

Dasht Soona Paas Basti Bhi Nahi
Bedayaro Bemazaaro Alwida
Arbaeen Ke Soghvaro Alwida

Khabr Se Aawaz Dete Hai Hussain
Lo Behan Zainab Sidharo Alwida
Arbaeen Ke Soghvaro Alwida

6- Arbaeen e Shuda e Karbala Lyrics in urdu Text

ہے یہ اذاں
سنتا ہے سارا زمانہ
ہے عاشقوں کا ترانہ
کربوبلا کو ہے جانا

اربعین شھدائے کربلا
اربعین شھدائے کربلا
با سید الشہداء وعدہ ما
واللہ اربعین کربلا

دل میں میرے 
نور خدا کا ہے جلوہ
ہے عاشقوں کا وہ قبلہ
روضہ ء ابا عبداللہ
۔۔ سوئے حرم یونہی بڑھتے رہیں
۔۔ دل میں یوں عشق لئے چلتے رہیں
رکنے نا پائے جو آئے یہاں
چلتا رہے یونہی یہ قافلہ

ڈر کی فضاء
روکا ہے جس نے زمانہ
داعش ہو یا کہ کرونا
جز رب کے ہرگز ڈرو نہ
۔۔ کربوبلا کی ہے زمیں شفا
۔۔ کربوبلا کی ہے فضاء شفا
آتے ہیں در پہ غازی کے سبھی
لینے کو روح و بدن کی دوا

وہ شام غم
پیاسے گلوں کا ہے ماتم
اشکوں سے آنکھیں ہوئی نم
غم کا ہے یہ کیسا موسم
۔۔۔ یوں کلمہ گو ظلم کرتے رہے
۔۔۔ آل علی کے گلے کٹتے رہے
مر کر بلند ہوئے مرد خدا
سر ہے سناں پے، پر نہیں جھکا

خون خدا
جس سے ہوئی ہے جبیں تر
کربل کی تپتی زمیں پر
بہتا ہے جو خونِ اصغر
۔۔ جن و ملک بھی ہیں نوحہ کناں
۔۔ ارض و فلک بھی ہیں نوحہ کناں
آل نبی کے یوں غم میں سدا
لوح و قلم بھی ہیں نوحہ کناں

وہ شام غم
پیاسے لبوں کا ہے ماتم
اشکوں سے آنکھیں ہوئی نم
غم کا ہے یہ کیسا موسم
۔۔۔ یوں کلمہ گو ظلم کرتے رہے
۔۔۔ آل علی کے گلے کٹتے رہے
مر کر بلند ہوئے مرد خدا
سر ہے سناں پہ، پر نہیں جھکا

اے حر تیرا
کتنا ہے اچھا مقدر
فرزند زھرہ کو پاکر
لمحوں میں ہوگیا اطھر
۔۔ ہوتے ہیں تجھ پہ درود و سلام
۔۔ اونچا ہے دو جگ میں تیرا مقام
رب سے یہ تجھ کو انعام ملا
حق سے وفا کا ہے یہی صلہ

وعدہ میرا
تجھ سے یہ مولا رہے گا
حق کے لئے میں لڑوں گا
قربان یہ جاں کروں گا
۔۔ قدموں میں تیرے یوں ہوکے فدا
۔۔ نصرت میں تیری یوں آئے قضا
راضی ہوں مجھ سے سب اہل حرم
یا رب تو کر دے یہ پوری دعا

شام و سحر
لب پہ ہے میری دعائیں
یوسف زھرہ آجائیں
مٹ جائیں غم کی گھٹائیں
۔۔ ساری زمیں پہ ہو امن و اماں
۔۔ ظالم رہے، نہ ہو اسکا نشاں
ہر سو بلند ہو پھر دیں کا علم
ہو نمر ، مھدی کا ادنیٰ غلام

Arbaeen e Shuda e Karbala New Noha Lyrics in English 


it azan
hears all the time
lovers' anthem
is krbubla go

arbayn martyrs of Karbala
arbayn martyrs of Karbala
marked the ascetic promised Ma
May arbayn Karbala

my heart
shine the light of Allah
's lovers they'd
shrine in Aba Abdullah
Harlan slept so keep moving
I continue to love the heart
could not stop coming here
continue so the caravan

space of afraid
the time has prevented
the ISIS or Krona
component not fear the Lord
Krbubla heal the earth
Krbubla heal the atmosphere
come to know Ghazi all
Take the medicine of the soul and the body

that evening grief
of mourning thirsty throats,
eyes moist with tears
of grief weather like this
Thus, the word-keepers continued to oppress
All the throat was cut
dead by the man of God
is the head snan pay, not bent on

blood God
is the Jabeen on
the hot land of Karbala
is the lesser flow of blood
The lament of the country
Earth and heaven are wailing knan
ever in the grief of all the
knan Tablet and Pen are lamenting

that evening grief
of mourning thirsty lips
moist eyes with tears
of pain how the weather
Thus the word-keepers continued to oppress
All they cut the throat
of the dying man of God,
not bent, head snan on

O Hurr you
how good destiny
's children received the venus
athr at the moment
There are blessings on you
The higher your place in the world
that you got the award from the Lord
's faithfulness to the same wage

I promise
it will master you
will fight for the right
place, it will die
In your footsteps, sacrifice like this
I have missed your victory
pleases me all the harem
I pray the Lord to give

evening and night
Lips to my prayers
come Joseph venus
Get rid of grief
Peace and order are on the ground
Be a tyrant, lest his mark
be elevated every hundred years, then let
him know , let him be humble, the lowest slave of the Mahdi.

7- ChehlumNoha  Mola Zawar Bana Dey Lyrics in English Text 

Hussaina Hussaina Hussaina Hussaina
Hussaina Hussaina Hussaina Hussaina
Ya Hussain, Ya Hussain

Ya Hussain Shah E Karbala
Aap Hain Kareem Ba Khuda
Poori Kijiye Meri Dua
Is Baras Ky Arbaeen Mein
Karoron Zayereen Mein
Naam Ho Mera Likha Hua
Ya Maola, Ya Maola
Maola Zawar Bana Dy

Ya Maula, Ya Maula
Maula Zawar Bana Dey

Mujhy Ek Bar Sada Dy
Meri Qismat Ko Jaga Dy
Apna Darbaar Dikha Dy
Ya Maola, Ya Maola
Maula Zawar Bana Dy

Ya Maula, Ya Maula
Maula Zawar Bana Dy

Dil Mein Meri Rooh Mein Armaan Basa Hai
Khawab O Khayalon Mein Mery Karb O Bala Hai
Aankhon Mein Aansoo Hain, Labon Par Yeh Dua Hai
Mery Tarhapny Ki Waja Tum Ko Pata Hai

Mujhy Ek Bar Sada Dy
Meri Qismat Ko Jaga Dy
Apna Darbaar Dikha Dy
Ya Maola, Ya Maola
Maola Zawar Bana Dy

Aankhen Meri Kaash Ky Dar Aap Ka Daikhen
Hath Meray Rozy Ki Jaali Ko Jo Thaamen
Lab Yeh Mery Aap Ki Chokhat Ko Jo Choomen
Log Mujhy Aashiq E Shabbir Pukaaren

Mujhy Ek Bar Sada Dy
Meri Qismat Ko Jaga Dy
Apna Darbaar Dikha Dy
Ya Maola, Ya Maola
Maola Zawar Bana Dy

Shanon Py Main Rakhy Huye Shawl E Aza Ko
Ghar Sy Main Jis Waqt Chalun Karb O Bala Ko
Baazu Py Baandhun Ga Main Taweez E Raza Ko
Maan Meri Seeny Sy Lagaye Gi Dua Ko

Mujhy Ek Bar Sada Dy
Meri Qismat Ko Jaga Dy
Apna Darbaar Dikha Dy
Ya Maola, Ya Maola
Maola Zawar Bana Dy

Karbobala Shahr E Najaf Sy Main Barun Ga
Sardi Ho, Garmi Ho, Main Paidal Hi Chalun Ga
Raah Mein Zawwaron Ki Khidmat Main Karun Ga
Parchame Abbas Utha Kar Main Rakhun Ga

Mujhy Ek Bar Sada Dy
Meri Qismat Ko Jaga Dy
Apna Darbaar Dikha Dy
Ya Maola, Ya Maola
Maola Zawar Bana Dy

Bhoola Nahi Aap Ky Akbar Ki Jawani
Yad Hai Asghar Ki Mujhy Tishna Dahaani
Ban Gya Zawar To Mannat Hai Yeh Maani
Naam E Sakina Py Pilaun Ga Main Paani

Mujhy Ek Bar Sada Dy
Meri Qismat Ko Jaga Dy
Apna Darbaar Dikha Dy
Ya Maola, Ya Maola
Maola Zawar Bana Dy

Shah E Karbala Ya Hussain
Shah E Karbala Ya Hussain

Ay Shah E Karbobala, Mujhy Zawwar Bana
Yeh Tamanna Hai Meri, Apna Darbaar Dikha
Chal Diye Ahl E Aza, Sar Py Parcham Hai Khula
Sab Ki Manzil Hai Wohi, Karbala Karbobala

Mujhy Ek Bar Sada Dy
Meri Qismat Ko Jaga Dy
Apna Darbaar Dikha Dy
Ya Maola, Ya Maola
Maula Zawar Bana Dy

Mujhy Apna Bana Ly, Ay Mere Maola Hussain
Mujhy Ek Baar Sada Dy, Ay Mera Maola Hussain
Mujhy Molai Bana Dy, Ay Mere Maola Hussain
Meri Taqdeer Jaga Dy, Ay Mere Maola Hussain
Maola Karbala Bula Ly, Ay Mere Maola Hussain
Maola Karbala Bula Ly, Maola Karbala Bula Ly

Mujhy Ek Bar Sada Dy
Meri Qismat Ko Jaga Dy
Apna Darbaar Dikha Dy
Ya Maola, Ya Maola
Maula Zawar Bana Dy

Maula Zawar Bana Da Lyrics in Urdu Text


مولا زوار بنا دے
لبیک یا حسین(ع)
حسینا حسینا حسینا حسینا
یا حسین ؑ شاہِ کربلا
آپ ہیں کریم باخدا
پوری کیجیے میری دعا
اس برس کے اربعین میں کروڑوں زائرین میں نام ہو میرا لکھا ہوا
یا مولاؑ ، مولا زوار بنادیں
مجھے ایک بار صدا دیں
میری قسمت کو جگا دیں
اپنا دربار دکھا دیں
دل میں میری روح میں ارمان بسا ہے
خواب و خیالوں میں میری کرب و بلا ہے
آنکھوں میں آنسو ہیں لبوں پر یہ دعا ہے
میرے تڑپنے کی وجہ تم کو پتا ہے
آنکھیں میری کاش کہ دَر آپ کا دیکھیں
ہاتھ میرے روضے کی جالی کو جو تھامیں
لب یہ میرے آپ کی چوکھٹ کو جوچومیں
لوگ مجھے عاشقِ شبیر پکاریں
شانوں پہ میں رکھے ہوئے شالے عزاء کو
گھر سے میں جس وقت چلوں کرب و بلا کو
بازو پہ میں باندھوں گا تعویذِ رضاؑ کو
ماں میری سینے سے لگائے گی دعا گو
کرب و بلا ، شہرِ نجف سے میں بڑھوں گا
سردی ہو ،گرمی ہو، میں پیدل ہی چلوں گا
راہ میں زواروں کی خدمت میں کروں گا
پرچمِ عباس اٹھا کر میں رکھوں گا
بھولا نہیں، بھولا نہیں، بھولا نہیں۔۔آپ کے اکبرؑ کی جوانی،
یاد ہے اصغر کی مجھے نشہ دہانی
بن گیا زوار تو منت ہے یہ مانی
نامِ سکینہ پہ پلاؤں گا میں پانی
یاحسین
اے شہہ کرب و بلا، مجھے زوار بنا
یہ تمنا ہے میری اپنا دربار دکھا
یاحسین
چل دیے اہلِ عزا، سر پہ پرچم ہے کھلا
سب کی منزل ہے وہی، کربلا ، کرب و بلا
مجھے اپنا بنالے، اے میرے مولا حسین
مجھے ایک بار صدا دے، اے میرے مولا حسین
مجھے مولائی بنا لے، اے میرے مولا حسین
میری تقدیر جگا دے، اے میرے مولا حسین
مولا کربلا بلا لے، مولا کربلا بلالے
لبیک یا حسینؑ

8- Khwab e Safar e Arbaeen Nohay Lyrics Online


Sajjad kya bayan ho wo arbaeen ka khawab
Matti ky log aur wo sehan e abu turab

Narra jo gunjta tha janab e ameer a.s ka
Sara haram hi lagta tha medan ghadeer ka

Sab kit hi cha muthi mein kul kainat ho
Dast e khuda ky roze ki jail pa hatj ho

Wo zaeef tha ky sara badan hi nidhal tha
Sarkar ki dareh py jana mahal tha

Pehlu mein mere sahib e eman tha koi
Dhari mein us ky gird thi salman tha koi

Bola wo mushuraty huye banda e ahad
Maula Ali se bhar ky kaho ya ali madad

Jaise hi ya ali a.s kaha rasta sa ban gaya
Qadmo mein un ky jor ky hathoun ko phir kaha

Ya abu turab chahye arsh e ulla ka izin
Mein lene ayah on safar e karbala ka azan

Ly kar abu turab se izne safar bhara
Chokhat py apne maula ki sajda ada kia

Nikla haram se jab tu mein duniya se agye tha
Phela qadam hi sarhad e sidra se agye tha

Seede thy missal eteer jo missal e Kaman thy
Jannat ki tarahan burhy wahan par jawan thy

Manzar wo thy ky aqal bhi heran thi meri
Wo karbala ki rah thi ya ishq ki gali

Zair ki jotiyan koi seta hua mila
Naukar ki tarhan tha koi pani liye khar

Bola ye koi kijye ghar mein mere qayam
Aram ka hai aap ky moujood intezam

Kehta tha chalye ap ko khana khilaun ga
Chal chalk y thak gaye hain mein paoun daboun ga

Ghazi a.s ki saltanat ki ajab zaib o zeen thi
Jis simit bhi nazar ki niyaz e Hussain thi

Zair hi keh ky mjh ko bulaya gaya wahan
Zair hi keh ky mjh ko khilaya gaya wahan

Mein ny bhi jis se baat ki zair kaha usy
Jis se bhi koi cheez li zair kaha usy

9- Ana Zawar Noha Lyrics Chehlum 2021-2022 

Labbaik ya hussain..
Salam karbobala Ya Hussain Ya Maula
Salam Haye shaheedaan e karbala e wafa
Har ek zarre se matam ki aa rahi hai sadaa..
Ana Zawwar… Husain Ibne ali
Ana Zawwar e Hussain ibn e ali.
Arbaab Hussain ibn e ali..

1. Chala hu karbobala hai zaba’n pe bismillah
Hai dil me kalma e haq la ilaha illallah
safar qubool kare Ya Hussain Sarallah
Hum log azadar e hussain.. arewallah
Hum log wafadar e hussain.. arewallah
Hum log tarafdar e hussain.. arewallah
Ae aaqa mere, ae maula mere
naukar hai sadaa, zawwar tere
Ana Zawwar e Hussain ibn e ali

2. Arbaab man az-zikr e to majnoonam
sar shikastan ast ishq e to qanoonam
deewane tar az hameesha meekhoonam
har che ke begam az to kame.. arewallah
ishqat baraman mohtarame.. arewallah
zeebaee yahi az alame.. arewallah
inja waseye man harame..arewallah
zawwar e tu am, maqsood e mani
man naukaretam, aaqa e mani
Ana Zawwar e Hussain Sarallah
Ana Zawwar e Hussain ibn e ali

3. Salam iska ke humko bula liya maula
Salam iska ke zaer bana liya maula
Salam iska ke dil me basa liya maula
Hum ehle yaqee, ehle azaa.. arewallah
Hum fatema zehra ki dua.. arewallah
Hum saare safeeran e azaa.. arewallah
Ae aaqa mere, ae maula mere
naukar hai sadaa, zawwar tere
Ana Zawwar e Hussain Sarallah
Ana Zawwar e Hussain ibn e ali

4. Ae naame to behtareen sar aaghazam, aaghazam
dar hawa e ishqat bade parwazam, parwazam
naukary be in naukari meenazam
ba to saro samoon megiram.. arewallah
sakhtiya ra asoon megiram.. arewallah
ba seena zadan joon megiram.. arewallah
zikre haram majnoon megiram.. arewallah
zawwar e tu am, maqsood e mani
man naukaretam, aaqa e mani
Ana Zawwar e Hussain ibn e ali

5. Khuda ka shukr dayaar e hussain dekh liya
in aasuo’n ne mazaar e hussain dekh liya
naseeb mera weqaar e hussain dekh liya
kya shaan teri karbobala.. arewallah
hai khaak teri khaak e shifa.. arewallah
jageer e alamdaar e wafa.. arewallah
Ae aaqa mere, ae maula mere
naukar hai sadaa, zawwar tere
Ana Zawwar e Hussain ibn e ali
Arbaab Hussain ibn e ali.

11.  Tera Chehlum Karnay 


Ya Abbas (A.S.)
Mai Teri Jagir Mein Aaie Hun
Ya Abbas (A.S.)
Mai Teri Jagir Mein Aaie Hun
Ya Abbas (A.S.)

Mai’n Sham Se Lut Kar Aai hu’n, Saugat-E-Masaiyab Lai Hu’n
Tera Chehlum Karne Aai Hu’n….
Mai’n Sham Se Lut Kar Aai hu’n, Saugat-E-Masayeb Lai Hu’n
Tera Chehlum Karne Aai Hu’n….



Rudad Sunane Ko, Mai’n Sham Se Aai Hu’n
Ek Dagh Sakina (S.a.) Ka Is Qalb Mei’n Laai Hu’n
Zindan-E-Sitam Ki Qaidi Thi
Furqat Me Padar Ke Roti Thi
Ro Ro Ke Sakina (S.a.) Jaa’n Se Gai
Mai’n Sham Se Lut Kar Aai hu’n, Saugat-E-Masayeb Lai Hu’n
Tera Chehlum Karne Aai Hu’n



Lasho’n se Juda Hokar Jis Waqt Chali Zainab (s.a)
Khud Ranj-o-masayeb ki Tasveer Bani Zainab (s.a.)
Pathrai hui ye ankhe’n thi,
Pathrili safar Ki Rahe’n thi
Raho’n me Faqat ye aahe’n thi…… Abbas (a.s.)
Mai’n Sham Se Lut Kar Aai hu’n, Saugat-E-Masayeb Lai Hu’n
Tera Chehlum Karne Aai Hu’n….


Mahmil Na Amaari Thi, Na Sar Pe Mere Chadar
Mai Sham Chali Gazi (A.s.), Paband-E-Rasan Ho Kar
Yaad Aae Mujhe Phir Woh Lamhe, Hum Log Watan Se Jub Nikle
Mehmil Me Bithaya Tha Tune
Mai’n Sham Se Lut Kar Aai hu’n, Saugat-E-Masayeb Lai Hu’n
Tera Chehlum Karne Aai Hu’n


Kya Sakht Safar tha wo, Har Gaam Tadapti thi
Bhai Mera Naize par, Mai’n Aag pe Chalti thi
The Ashk Musalsal Ankho’n Me,
Thi Khak Safar ki Balo’n Me
Aor Naam Tera Tha Naalo’n Me
Mai’n Sham Se Lut Kar Aai hu’n, Saugat-E-Masayeb Lai Hu’n
Tera Chehlum Karne Aai Hu’n….


Yeh Ajr Resalat Ka Hum Logo’n Ne Paya Tha,
Amad Pe Asiro’n Ki Bazar Sajaya Tha,
Woh Lamhe Kabhi Na Bhoolu’ngi Darbar Me Pahunche Jub Qaidi,
Mai Yad Tujhe Hi Karti Thi
Mai’n Sham Se Lut Kar Aai hu’n, Saugat-E-Masayeb Lai Hu’n
Tera Chehlum Karne Aai Hu’n….


Darbar Mei’n Aai Gazi (A.s.) Hum Par Yeh Jafaien Thi
Ek Samt Mera Khutba Ek Samt Azaane’n Thi
Hakim (La) Ne Shaki Se Yeh Poochha, Hai In Mein Zainab (S.a.) Kaun Bhala
Who Zainab (S.a.) Jiska Bhai Tha
Mai’n Sham Se Lut Kar Aai hu’n, Saugat-E-Masayeb Lai Hu’n
Tera Chehlum Karne Aai Hu’n….


Zinda’n Me Asiro’n Ne Ek Saal Guzara Hai
Us Saal Ka Har Lamha Ek Saal Ke Jaisa Hai
Jub Hukm Rehai Ka Aaya Aur Loot Ka Sub Samaan Mila
Chadar Jo Mili Zainab (S.a.) Ne Kaha
Mai’n Sham Se Lut Kar Aai hu’n, Saugat-E-Masayeb Lai Hu’n
Tera Chehlum Karne Aai Hu’n….


Farhan Zara Socho Kya Hashr Bapa Hoga
Jub Mazhar E Yazda’n (A.s.) Ki Beti Ne Kaha Hoga
Zindane Se Aaie Hu’n Dekho, Aye Sher-E-Jari Ek Baar Utho
Zainab (S.a.) Ka Isteqbal Karo
Mai’n Sham Se Lut Kar Aai hu’n, Saugat-E-Masaiyab Lai Hu’n

Tera Chehlum Karne Aai Hu’n

12.- Ya Saheb-az-Zamaan - Hum Jaaein Karbala 


Mola Zahoor Kijie Har Dil Ki Hai Sada 
Armaan Hai Saath Aapke Hum Jaaein Karbala 

Manzar Hai Karbala Ka Nigaahon Me Aapki
Ho Aap Noha Khwan Wahaan Hum Ho Matami
Hai Aapko Hussain Ki Ghurbat Ka Wasta
Armaan Hai Saath Aapke Hum Jaaein Karbala 

Farshe Aza Pe Baith Ke Sun-na Hai Aapse 
Kaise Hussain Zeen Se Aaye Zameen
Mawjood Hai Maqaam Wahi Ab Bhi Aapka
Armaan Hai Saath Aapke Hum Jaaein Karbala 

Thaame Huwe Hussain Ke Kurte Ko Haath Me
Hoti Hain Har Maqaam Pe Zahra Bhi Saath Me
Dena Hai Pursa Fatema Zahra Ko Shah Ka
Armaan Hai Saath Aapke Hum Jaaein Karbala 

Akbar Se Nawjawaan Ne Khaayi Jahaan Sina
Khaya Tha Teer Asghar E Besheer Ne Jahaan
Hai Aarzoo Ke Dekhe Le Hum Jaake Woh Jagaa

Jab Dono Haath Kat Chuke Paani Ke Waaste
Kistarha Aaye Khaak Per Abbas Zeen Se
Ghazi Ka Haal Soch Ke Rota Hai Dil Mera
Armaan Hai Saath Aapke Hum Jaaein Karbala 

Ay Mola Aa Bhi Jaaye Ata Nahi Hai Chain
Yaad Aa Raha Hai Humko Bohot Roza E Hussain
Zeeshan Aur Karim Ye Karte Hai Ilteja
Armaan Hai Saath Aapke Hum Jaaein Karbala 

13.  Safar e Ishq e Karbala Lyrics Dil Main Ishq E Karbala Aur Ankh Main Anso Liya

hum chalay paidal yahan karbala kay wastay 
kya hua gar is baras hum karbala na ja sakay
apnay Mola ki karimi pa bherosa hai mujha

dekhna jald maujza hoga 
safar e ishq Karbala hoga 

her qadam zehan main ho karbobala
aur hontoon per ya Hussaina ho 
koi thak jayay chaltay chaltay agar
iski khidmat kero duain lo 
in duaon ka yeh sila hoga
safar e ishq e karbala hoga

koi pyasa agar nazar ayay 
usko pani pilao tum berh ker
her azadar ka khayal rekho 
hoga shabbir ka karam tum per
jab karam tum pay barha hoga 
safar e ishq e karbala hoga

soorat e rah e karbala her soo
hain kahi sabeelain kai mokib hain 
dil main mojood hai ghum e sarwar
door karbala sa hum kab hain 
sabki kismat ka faisla hoga
safar e ishq e karbala hoga

Aey azadaro bhool na jana 
yaad saadat ka safar rekhna
haye woh rah e shaam aur kantay 
jin pa sajjad nangay paon chalay 
be rida haye Zainab e muztar
aur sir par barastay woh pathar
haye sadat na saha kya kya 
kholta pani unpa phenka gaya 
jis safar main hussain ki beti 
shimr k tazyanay sehti rahi 
sir thay naizay pa sab shaheedon kay 
aur aseeron k hath jakray thay 
aey wafadar k wafadaroon 
tum jo azad ho azadaro 
bus yeh sadqa hai un aseroon ka 
ishq e mabood k safiroon ka 
agay berhtay raho bara e Hussain 
ho sada lab pa haye haye Hussain

Karbala dekhlen in ankhoon sa 
kitna bechain hai humara dil 
aey Habib e Hussain nam likhein 
door rehna hai ab bauhat mushkil 
nam jis jis ka bhi likha hoga
safar e isq e karbala hoga

ishq e sarwar ki inteha dekho 
nangay paon hain log mehway safar 
unkay rastay ko saaf kertay chalo 
rah main ayay na koi kankar
khidmaton ka jo haq ada hoga
safar e ishq e karbala hoga

beth ker zairoon k kadmon main 
ker rahay hain jo khidmatain her jaa
dekhker jazba o khuloos unka
mere dil sa nikal rahe hai dua 
unki khidmat ka yeh sila hoga
safar e ishq e karbala hoga

yeh safar ki jiya qabool hussain
apko wasta hai abid ka 
karbala hum bhi jayain aglay baras 
joan o Zeeshan ker rahay hain dua 
izn jab apka ata hoga 
safar e ishq e karbala hoga

14- To Bula Lejay Karbala


Mola Hussain as Ab To Bula Lejay Karbala
Aglay Baras Ki Kisko Khabar Ham Hoon Ya Na ho

Mola as Na Toot Jaye Yea Sanson Ka Silsila

Dil Main Koi Dua Nahi Iskay Siwa Hussain as
Ik Bar Bas Bula Lain Muje Karbala Hussain as
Marnay Say Pehlay Daikh Loon Darbar Apka
Aglay Baras Ki Kisko Khabar Ham Hoon Ya Na ho

Halat Hay Ajeeb Wabaon Ka Zor Hay
Har Simt Al-Madad Ki Sadaon Ka Shoor Hay
Dar Par Bula Kay Dejeay Mola Hamain Shifa
Aglay Baras Ki Kisko Khabar Ham Hoon Ya Na ho

Mudh Kar Jo Dar Pay Ponchay Yea Qudrat Nahi Hamain
Rozay Pay Ja Sakain Yea Ijazat Nahi Hamain
Mola Nikaleay Koi Janay Ka Rasta
Aglay Baras Ki Kisko Khabar Ham Hoon Ya Na ho

Mehsoor Hay Gharon Main Ki Majboor Hain Bohut
Mola Khabar Hay Apko Ham Door Hain Bohut
Furqat Main Apki Nahi Jeenay Ka Hosla
Aglay Baras Ki Kisko Khabar Ham Hoon Ya Na ho

Tabeer Kab Milegi Mere Khuwab Ko Imam as
Kab Akay Main Karunga Bhala Apko Salam
Dil Main Hi Reh Na Jaye Yea Arman Karbala
Aglay Baras Ki Kisko Khabar Ham Hoon Ya Na ho

Ay Mola Zindagi Ka Na Ho Akhri Yea Sal
Sun Lo Meri Sadaon Ko Aesa Ay Fatima sa Kay Lal
Chokhat Pay Apki Main Karung Sajda Ik Ada

Wada Hay Apni Mout Say Koi Bashar Nahi
Saman So Baras Ka Hay Pal Ki Khabar Nahi
Karna Hassan Ziyarat Mola Ki Bas Dua
Aglay Baras Ki Kisko Khabar Ham Hoon Ya Na ho

Top Post Ad

Below Post Ad