Type Here to Get Search Results !

Arbaeen Noha 2021 Lyrics Sahara Hussain as Zakir Ali Irani

Arbaeen Noha 2021 Lyrics Sahara Hussain as Hay Latest Noha 2022 Zakir Ali Irani

*:Roze alast zikre shahe mashraqain hai

Kul ambiya ka aaj sahara Husain hai 


(1)arzo sama hai aur na zami in aasman hai

Jinno Bashar hai aur na kahi itminaan hai

Kul ambiya ka Aaj yaha imtehaan hai

Roze alast hai ye khuda ka bayan hai

Haan aaj yaha taje shafa.at.ki baat hai


(2)Kahne laga khuda ke meri baat ab suno  

aage bado ae taaje shafa.at ko tham lo 

Sharte hai isko paane ki is par amal karo 

Tum ambiya ho mere nabi khas bande ho 

Jisko bhi chahe bakhshne use ikhtiyar du.n

Usko maintaajdare shafa.at qarar du √


(3)aadam ke saath isa wa musa wa zakriya 

Sunkar khuda ko dene lage saare hi sada 

Sharte hai kya khuda ya hame bhi zara bata 

The beqarar taaj ki khatir kul ambiya.

mehshar me kaun hai jo shafa.at karayega 

Wo kaun hai jo shafa.at ko payega 


(4)bola khuda ke kaun mera dee.n bachayega apne Jigar ke paaro se maqtal sajayega 

Quraan kaun noke sina par sunayega wo kaun hai jo sajde me sar ko katayega

sunkar ye shart ambiya hairan ho gaye 

Maathe pa tha pasina pareshan ho gaye 


(5) sharto ko sunke saare hi khamosh ho gaye

Hairat se ek dusre ko dekhne lage 

Mushkil bahut hai kaun bhala aisa kar sake

 ek dusre se ambiya phir baat ye kahe

aakhir wo kaun hoga jo sab kuch lutauega

Sab kuch luta ke deene khuda ko bachayega


(6) yaa Husain yaa husain ...

Maahol me sukut ka sannata chah gaya 

Koi amal ke waste aage na bad saka 

Halchal hui fazao me phir shor ek uta

Sannata tuta gunji thi labbaika ki sada 

karlo safe durust ye Zahra ka chain hai

Labbaika labbaika labbaika

Kahne waala masiha husain hai√


(7) bole husain jo tu kahe kar dikhunga

Jo aaj kar raha hu wo wada nibhaunga 

Apne Jigar ke paaro se maqtal sajaunga 

Sajde me sar kata ke mai Quran sunauga

aane na dunga  aanch kabhi teri Shan me 

Mai sarfarazi paunga har emtehan me√


(8 bole Husain hum hi hai bas iske wirsedaar 

Baba hai mera saqiye kausar sa namdar 

Nana hai mere taaj safa.at.ke taajdar 

Mehshar me bas yahi hai shafa.at ke zimmedar 

qurbaaniya wo dunga tera naam rahega 

Mehshar talak khuda tera Islam rahega


(9) jo bhi kaha  husain ne kar ke dikha diya 

Apne lahu se karbobala ko saja diya 

Karbobala ko arshe mo.alla bana diya 

Khud pyasa rah ke deen ko aabe baqa diya 

Zakir Faraz dee.n pa hai ahsaan.n husain ka 

Maqruz deene haq hai shahe mashra.qain ka 


Noha Title Sahara Hussain as Hay
Reciter Name Zakir Ali Irani
Poetry By Maulana Syed Yawar Abbas
Released On  Sabeel e Mawaddat YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Muharram 1443
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.