Azadaro Chalo Karbala Lyrics Chehlum 2021-2022 Latest Noha in Urdu Mohamed Mustafa Somji
ay azadaro chalo arbaeeen pay karb o bala
ay sogwaroo chalo arbaeen pay karb o bala
najaf se karb o bala ka safar karengy ham
qadam qadam pay karengy Hussain as ka matam
sadaain hongi har ik lab pay bas yahi payham
na tuuty silsila karb o bala ko aany ka
alam uthaa k su e karbala ko jaaingy
tamam raah main ashk e aza bahaaingy
jo haal e dil ha wo shabbir as ko sunaaingy
Hussain as mil gaye jis ko mila hay us ko khuda
azeez o aqraba jis dam tamam maary gaye
ye gham baja hay k ham log karbala main na thy
magar ye such hay k hal min kaha jo maula nay
hamari ruhoo'n nay labbyk ya Hussain as kaha
ham is ghareeb ka gham is terha manaaingy
ham is k khuun main apna lahu milaaingy
ham is ki qabr per ashk e aza bahaaingy
k teen rooz raha jis ka bay kafan lasha
sitam se hogaya dushwaar jis ka jeena bhi
safar main yaad kareny gham e sakina as bhi
parhengy noha bhi peetengy apna seena bhi
lagegi piaas to Abbas as ko hi dengy sada
bharengy mashk e sakina as ko ham jo ro ro kar
furaat rash karegi hamari aankhoon per
jahan pay piaasy rahy ibn e saqi e kosar
bahaaingy wahan jaa kar ham itny ashk e aza
main aagai hun mera gham bataany aajao
mere Hussain as pay aansu bahany ajao
mere ghareeb ka chehlum manany ajao
pukaarti hay Hassan ham ko Zainab e kubra sa
Noha Title | Azadaro Chalo Karbala |
Reciter Name | Mohammad Mustafa Somji |
Poetry By | Hassan Kazmi |
Released On | Mohammad Mustafa Somji YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Muharram 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin