Type Here to Get Search Results !

Noha Bibi Sakina Mera Bhai Sajjad Ahmed Raza Nasiri Latest Noha 2022

Noha Bibi Sakina sa Mera Bhai Sajjad Ahmed Raza Nasiri Latest Noha 2022

Qabr Se Baali Sakina sa Ki Sada Youn Aae

Dekh Lun Phir Se Me Ek Baar Ruko To Bhai

Sab Chale Jaate Hain Kaate Gi Mujhe Tanhai

Mout Pardes Me Jo Door Watan Se Aae

Ab Na Phir Roone Ki Talqeen Sunaate Jao

Akhiri Baar Mujhe Seene Lagaate Jao


Mere Bhai Sajjad as 


Phir Se Ek Baar Zara Sar Pe Mere Hath Dharo

Dam Karo Naad E Ali Soora E Alhamd Parho

Chor Kar Mujhko Sawari Ki Youn Jaanib Na Barho

Aaj Ruk Jao Khudara Nahi Naaqe Pe Charho

Kia Guzarti Hai Mere Dil Pe Khabar Lo Bhaiyya

Baad Baba Ke Tumhi Mere Pidar Ho Bhaiyya


Mere Bhai Sajjad as


Arbaeen Karna Hai Mujhko Bhi Mere Baba Ka

Le Chalo Sath Ziyarat Ke Lie Karbobala

Log Aainge Wahan Dene Mujhe Bhi Pursa

Qabr E Asghar Pe Musibat Ka Parhungi Noha

Zakhm Saare Me Chacha Jaan Ko Dikhlaoungi 

Shimr Ne Maara Mujhe Baba Ko Batlaoungi


Mere Bhai Sajjad as


Ban Me Awaaz Me Deti Rahi Akbar Akbar

Mujhko Churwao Musalmano Se Bhaiya Aakar

Jis Sina Par Tha Utha Mere Chacha Jaan Ka Sar

Dhoop Me Beth Gae Uski Me Chao Le Kar

Durra Is Jurm Me Zaalim Ne Lagaya Mujhko

Mene Har Ek Tamache Pe Bulaya Tujhko


Mere Bhai Sajjad as


Apne Chehre Se Me Lagti Hun Shabihe Zehra

Baat Karne Me Bhi Ab Aati Hai Luknat Baba

Ek Tamache Pe Tha Dandaan Jo Mera Toota

Neel Hatho Me To Pairo Me Waram Bhi Aaya

Bojh Beemar Kahan Mera Utha Paata Tha

Natawaan Khata Tha Thokar Kabhi Gir Jaata Tha


Mere Bhai Sajjad as


Paas Darbaar Me Zaalim Ne Mujhe Bulwaya

Samne Ek Mere Tasht Gaya Rakhwaya

Bola Kia Laadli Ne Sheh Ki Hai Khurma Khaya

Tasht Se Phir Wo Jo Roomal Gaya Hatwaya

Tera Kaata Hua Sar Baba Wahan Rakha Tha

Rooti Jaati Thi Me Wo Mujh Pe Khara Hansta Tha


Mere Bhai Sajjad as


Zalzala Qabr Me Zaindaan Ki Fiza Hai Purnam

Bina Zanjeer Hi Abid Bandhe Uthte Qadam 

Aise Mehsoos Hua Gooya Sakina Us Dam

Wasta Deti Hai Baba Ka Kabhi Maa Ki Qasam

Jaate Jaate Dar E Zaindaan Se Achanak Palte

Behen Ki Qabr Se Ek Baar Wo Phir Se Lipte


Mere Bhai Sajjad as


Tan Se Athara Ke Abad Hui Karbobala

Sath Beto Ke Baqaiyya Me Rahaingi Zehra sa

Toos Me Hunge Raza Sath Behen Masooma

Hoga Baghdad Me Kazim Wa Taqi Ka Roza

Chor Ke Tanha Sakina  Na Yahan Jaingi

Apke Shehr Me Rehne Ko Phupi Aaingi

Noha Title Mera Bhai Sajjad as
Reciter Name Ahmed Raza Nasiri
Poetry By Syeda Naqvi
Released On  Ahmed Raza Nasiri YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Muharram 1443
Posted By  Noha Lyrics
Soz.Composition Own Rizvi

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.