Aa Dekh Meray Ghazi Ooncha Hay Alam Lyrics in Urdu
Ya abbas
Aa dekh mere ghaazi, ooncha hai alam teraa
Dil seenay mein jab taak hai, bhulega na gham tera
Aa dekh mere ghaazi, ooncha hai alam teraa
Zainab ki duwa bankarrr, ik waqt woh aayega
Har ghar pay saja honga, Abbas alam tera
Dil sinay mein jab tak hai, bhulega na gham tera
Aa dekh mere ghaazi, uncha hai alam teraa
Aa jaati hai zahra bhi, zainab bhi ziyarat ko
Jab aanth muharram ko, uthta hai alam tera
Dil sinay mein jab tak hai, bhulega na gham tera
Aa dekh mere ghaazi, uncha hai alam teraa
Tabut jab utthta haiii, shabbir ka ay ghaazi
Taboot ke aagay aagay, hota hay alam tera
Dil senay mein jab tak hai, bhulega na gham tera
Aa dekh mere ghaazi, uncha hai alam teraa
Woh kaunsay sadmay thay, sheh toot gaye jis say
Ik darda tha zainab kaaa, aur doosra gham tera
Dil sinay mein jab tak hai, bhulega na gham tera
Aa dekh mere ghaazi, uncha hai alam teraa
Parcham ka pharera thaaa, ya aas thi zainab ki
Zainab kay kalejay say, gham kaisay ho kam tera
Dil sinay mein jab tak hai, bhulega na gham tera
Aa dekh mere ghaazi, uncha hai alam teraa
Bazaar mein zindaan mein, darbar mein har lamha
Zainab ki to sanson payyy, thaa naam rakam tera
Dil sinay mein jab tak hai, bhulega na gham tera
Aa dekh mere ghaazi, uncha hai alam teraa
Jab beh gaya sab paaniii, tab saans teri tooti
tha sinay ke andar yaaa, mashkizay mein dam tera
Dil sinay mein jab tak hai, bhulega na gham tera
Aa dekh mere ghaazi, uncha hai alam teraa
Aawaaz teri sarwarrr, shabbir say wabasta
Abbas say wabastaa, rehan kalam teraaa
Dil sinay mein jab tak hai, bhulega na gham tera
Aa dekh mere ghaazi, uncha hai alam teraa
Aa Dekh Meray Ghazi Ooncha Hay Alam Lyrics in Urdu Text
آ دیکھ میرے غازیؑ , اونچا ہے علم تیرا
دل سینے میں جب تک ہے , بھولے گا نہ غم تیرا
زینبؑ کی دعا بن کر , ایک وقت وہ آئے گا
ہر گھر پہ سجا ہو گا , عبّاسؑ علم تیرا
آ جاتی ہیں زہراؑ بھی , زینبؑ بھی زیارت کو
جب آٹھ محرّم کو , اٹھتا ہے علم تیرا
تابوت جب اٹھتا ہے , شبیرؑ کا اے غازیؑ
تابوت کے آگے بھی , چلتا ہے علم تیرا
وہ کون سے صدمے تھے , شہ ٹوٹ گئے جن سے
اک درد تھا زینبؑ کا , اور دوسرا غم تیرا
پرچم کا پھریرا تھا , یا آس تھی زینبؑ کی
زینبؑ کے کلیجے سے , غم کیسے ہو کم تیرا
بازار میں زنداں میں , دربار میں ہر لمحہ
زینبؑ کی تو سانسوں پہ , تھا نام رقم تیرا
جب بہہ گیا سب پانی , تب سانس تیری ٹوٹی
تھا سینے کے اندر یا , مشکیزے میں دم تیرا
آواز تیری سرور , شبّیرؑ سے وابستہ
عبّاسؑ سے وابستہ , ریحان قلم تیرا
Noha Title | Aa Dakh Maray Ghazi Ooncha Ha Alam |
Reciter Name | Nadeem Sarwar |
Poetry By | NA |
Released On | Nadeem Sarwar YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | NA |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin