Ay Meri Maa Ayam e Fatimiyah 1443 New Kalam
Mayyat pe maa ki shabbir bole, ansu bahakar ey meri maa
Girya kuna hai, jane se tere, shabbiro shabbar ey meri maa
Sehne haram se uthta dhuwa tha, ham par qayamat ka wo samaa tha
Dekha tha hamne, girta tha tujh par jhalta huwa dar ey meri
Kulsumo Zainab mehwe fughan hai, gulshan pe kesi chayi khizaan hai
Teri judayi ham pe gira hai binte payambar ey meri maa
Lashe pe tere zainab khardhi hai, kulsum Teri ghash mai pardhi hai
Toota huwa hai khud gham se haider barpaa hai mehshar ey meri maa
Kooche ka manzar yaad arahahe, shabbar ko ye gham tardh parahahe
Tuhi batade bhulega kese shabbar wo manzar ey meri maa
Pehlu shikasta tou meri maa hai, hathu pe durre ka bhi nisha hai
Nana se kehna ummat ne dhaye jo zulm tujh par ey meri maa
Ey shams kehte the roke bache maa ham judayi kaise sahenge
Mayyat pe teri ghash kha gaya, shere dilawar ey meri maa
Noha Title | Ay Meri Maa |
Reciter Name | Muhammad Ali Moshi Baltistani |
Poetry By | Shams Baltistani |
Released On | Mohammadali Moshi Baltistani YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Ayam e Fatimiyah 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Also Read:Zahra ko kyun Sataya Noha
Social Plugin