Type Here to Get Search Results !

Fiza khyal rakhna Ayam e Fatimiyah 1443 New Noha

0

 Fiza khyal rakhna Ayam e Fatimiyah 1443 Noha

Rukti hai sans meri pasli ke tootne se 
Tasbeeh padh na payi ungli ke tootne se 
Kaise rahi me zinda sabse ise chupana

Ae fizza yaad tumko mohsin ka khoon hoga 
Allah ki qasam tab mujhko sukun hoga 
Har sham jaake dar per tum ek diya jalana

Baaba ke baad apne lab kholte nhi hen 
Rehte hen chup hamesha kuch bolte nhi hen 
Marne Ke Bad Mere Koi Nahi Ali Ka

Mujhko hasan ne dekha khate huye tamache 
Aati hai sharm mujhko is waste hasan se
Jo zulm mujh pa guzre har giz na zikr karna 

Shabbeer se na ghafil ho jana lamha bhar ko 
Lagti hai pyas aksar shab me mere pisar ko 
Pani use pilana reh jaye na wo pyasa 

Chalti hu apne ghar me deewar ke sahare 
Kehti nhi Ali se kuch bhi haya ke maare 
Puche Ali jo tumse kuch bhi nhi btana 

Marne ke baad mere jab ho Ali ki shadi 
Abbas ki wiladat kuch din ke baad hogi 
Usko meri taraf se mera salam kehna 

Bhuke na soye bacche khana unhe khilana 
Unko lehad pa meri har roz leke aana 
Tumko meri qasam hai is baat ka hamesha 

Kulsum or Zainab sar nannge jab rahengi 
Abbas bhi na hoga kisse bhala kahengi 
Baccho ki tarha apne tum meri betiyo ka

Abbas per hamesha mera karam rahega
Jafar hasan ke dil me bas mera gham rahega 
Hen nauha khawan mere tum roze hashr inka

Noha Title Fiza Khyal Rakhna
Reciter Name Ali Hassan Jafar
Poetry By Abbas Sirsivi
Released On  Ali Hassan Jafar YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Ayam e Fatimiyah 1443
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Also Read:Darbar Ma Jana Zahra ka



Post a Comment

0 Comments

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.