Type Here to Get Search Results !

Ghurbat Ki Inteha Hai Qasim Ali Raza Ayam e Fatimiyah Kalam

 Ghurbat Ki Inteha Hai Ayam-e-Fatimiyah 2022 Noha 

Ghurbat ki inteha hai, na saya na rida hay, Zehra(sa) teri lahad par

Chand patharon ne mil kar, mehrooma likh diya hai

Zehra teri lahad par


Zindan ki ghutan say, har lash e bekafan se

Abid ne jo sambhala, woh ansoo gir parra hay


Teeron bhari qaba thi, or khoon bhari rida thi

Jo Shaam se bacha tha, Zainab(sa) ne rakh diya hai 


Kia ye daleel kam hay us ki qamar may kham hai

Kaye bar aasman ne, sajda ada kia hai


Abbas ka hai phera , Roze pe Shahe Deen Ke

Ummul Baneen Ka Phera, Ab tak Laga hua Hai


Jis Roz se hai chora , Shabeer(as) ne Madina 

Us din se or bhi koch , sanata chah gaya hai 

Also Read :Main Tumhary Nabi saww Ki Beti sa Hun 

 Ghurbat Ki Inteha Hai Ayam-e-Fatimiyah 2022 Noha in Urdu Text

غربت کی انتہا ہے نا سایہ نا ردا ہے زہرا س تیری لحد پر
چند پتھڑوں نے مل کر محرومہ لکھ دیا ہے
زہرا تیری لحد پر

زندان کی گھٹن سے ہر لاش بے کفن سے
عابد نے جو سمبھالا وہ آنسو گر پرا ہے

تیروں بھری قبا تھی اور خون بھری ردا تھی
جو شام سے بچا تھا زینب س نے رکھ دیا ہے

کیا یہ دلیل کم ہے اس کی قمر میں خم ہے
کئی بار آسماں نے سجدہ ادا کیا ہے

عباس کا ہے پہرہ روضے پے شاہ دیں کے
ام البنین کا پہرہ اب تک لگا ہوا ہے

جس روز سے چھوڑا شبیرع نے مدینہ 
اس دن سے اور بھی سناٹا چھا گیا ہے


Noha Title Ghurbat Ki Inteha Hai
Reciter Name Qasim Ali Raza
Poetry By Aqeel Mohsin Naqvi
Released On  Qasim Ali Raza YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Ayam e Fatimiyah 1443
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.