Mara hai Fatima ko sab na Noha Ayam e Fatimiyah 2022
MARA HAI FATIMA KO SAB NE RULA RULA KAR
ZAHRA KA DAR JALA KAR ZAHRA PE DAR GIRA KAR
Turbat se Fatima ki aati yahii sadaa hai
Pehlu se haath mera ab tak nahi hataa hai
Mehdi mujhey sambhaalo gaibat se jald aakar
Darbaar se zaeefa ghar kii taraf chalii hai
Allah hi jaanta hai kitnii dafaa girii hai
Laaye hai apney ghar tak Hasnain khud uthaakar
Zaalim ka taaziyaana jis haath par lagaa hai
Wo haath Fatima ka uth'hii nahi rahaa hai
Padhti hai ab namaazey ek haath hi uthaakar
Pehlu mey dard itna hai ke tadap rahii hai
Chalna bhi ab hai mushkil uth uthkey gir rahii hai
Chaltii hai eak shaana deewaar se lagaakar
Kehkey yateem khud ko Shabbir jab ke roye
Do haath Fatima ke band e kafan se nikley
Seeney mey royi apney Shabbir ko sulaakar
Haye, manzar badaa kathin tha jis damm lagaa tamaacha
Sarr bintey Mustafa ka deewaar se lagaa tha
Moo peet'tey they Haider aankho se khoo bahaakar
Hilney lagaa tha nabi ka Roza us damm aasee
Zehra lahad pey aakar ro rokey jab pukaari
Chehrey ke neel dekho baba ridaa hataakar
Noha Title | Mara Hai Fatima ko |
Reciter Name | Amanat Ali & Ghulam Abbas (Sonu Monu) |
Poetry By | Muhammad Irtaza Aasi |
Released On | Sonu Monu YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Ayam e Fatimiyah Noha |
Released Year | Ayam e Fatimiyah 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin