Musalman Hans Rahe The Ayam e Fatimiyah 1443 Noha
Nabi ki qabr pe aakar, kaha Zahra ne ro ro kar, MusalmaaN has rahe the
Bhare Darbaar mei baba, khaDi thi aapki dukhtar, MusalmaaN has rahe the
Mila yeh ajr humko ahle Yasrab se risalat ka
Hame hai aap ke gham main kahan rone diya Baba
Bana jab Ghar mere rone ki khatir shehr se bahar, MusalmaaN has rahe the
Nahi yeh gham Mujhe bagh e fidak maine nahi paaya
Ay baba Bas Mujhe iss baat pe Rona Bohat aaya
Gawahi mere betoN ki sare darbaar jhut laa kar, MusalmaaN has rahe the
Yeh sadma hai mere haq mei kisi ne lab nahi khola
Madine mei meri janib se koi bhi nahi bola
Wilayat ka liye paighaam main phirti rahi dar dar, MusalmaaN has rahe the
JahaaN khayyat bankar khuld se Rizwaan aate the
Malak bhi aake jis dar pe adab se sar jhulaate the
Ussi dar ko laga kar aag jab maari gayi thokar, MusalmaaN has rahe the
Ghadeer e khum mei jisko aapne Maula kaha baba
Woh jisne aap se waada kiya tha sabr karne ka
Nahi bhooli main woh manzar, huwe the qaid jab Haider, Musalmaan has rahe the
Hassan ke saamne baba laaeN ne zulm yeh dhaya
Mere bache ne mujhpar yeh sitam hote huwe dekha
Main roti reh gayi baba tamacha jab laga rukh par, MuslamaaN has rahe the
Surani athwi shawwal ko kaise bhulaaeiN hum
Kiya tha munhadim yuN rauza e Makhdooma e aalam
Nishaani ke liye jab qabr pe Bas reh gaye patthar, MusalmaaN has rahe the
Noha Title | Musalman Hans Rahe They |
Reciter Name | Ali Raza Surani |
Poetry By | Ali Raza Surani |
Released On | Azadari Chitora YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Ayam e Fatimiyah 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Read This:Sar Ko Jhukaye Zahra Noha
Social Plugin