Type Here to Get Search Results !

Ya Ali Ya Fatima Zahra Ayam e Fatimiyah 2022 Noha

 Ya Ali Ya Fatima Zahra Ayam e Fatimiyah 2022 Noha

Ya Ali(a.s) Ya Fatima Zehra(s.a)
Ya Ali(a.s) Ya Fatima Zehra(s.a)

Fatima Zehra(s.a) Ka Jub Waqt E Shahadat Agaya
Neend Say Chonki Toh Dekha, Hain Sirhanay Murtaza(a.s)
Ro Kay Farmaya Kay Dekha Khuwab Main Yeh Maajra
Khuld Say Lay Nay Mujhe Ayen Hain BaBa Mustafa(s.a.w.w)
Ya Ali(a.s) Ya Fatima Zehra(s.a)

Shukr Hai Hojayen Gi Ab Sakhtiyan Zehra(s.a) Kum
Ya Ali(a.s) Main Thak Gayi Hun Seh Kay Yeh Ranj O Alam
Aapki Gardan Main Rassi Baandh Lain Ahle Sitam
Kha Gaya Hai Jeetey Mujh Ko Yehi Bss Aik Ghum
Ya Ali(a.s) Ya Fatima Zehra(s.a)

Sar Jhuka Kay Ro Parhey Be-Sakhta Shair E Khuda
Hai Musibat Yeh Meri Sub Say Barhi Aye Syedda(s.a)
Mere Jeetey Jee Tumhe Darbaar Bulwaya Gaya
Muaf Kardeyna Mujhe Haq Na Tumhe Dilwa Saka

Bolee'n Zahra(s.a) Ya Ali(a.s) Yeh Ghum Toh Hai Be-Shaq Barha Haq Mere Cheena Mujhe Darbaar Bulwaya Gaya
Zulm Hai Sub Say Barha Jo Aapkay Upper Hua

Aap Say Haq E Khilafat Ko Judaa Jo KardiyaAyat E Tatheer Parhtey Thy Jahan Par Mustafa(s.a.w.w)

Baad Unnkay Waqt Yun Badla Wo Darwaza Jala
Cheekhti Main Reh Gayii Wo Mere Giraa
Pasliyan Tooti Hain Meri Qatl Mohsin(a.s) Bhi Hua
Ya Ali(a.s) Ya Fatima Zehra(s.a)

Jaon Gi Iss Haal Main BaBa(s.a.w.w) Say Milnay Ya Ali(a.s)
Jub Bachanay Aapko Main Dar Hata Kar Ayii Thi
Kiya Bataon Mujh Say Qunfz(l.a) Nay Jo Gustakhi Thi Ki
Hai Tamachay Ka Nisha'n Rukhsar Par Mere Abhi
Ya Ali(a.s) Ya Fatima Zehra(s.a)

Janay Kesey Syedda(s.a) Ko Hosla Sheh(a.s) Nay Diya
Zabt Kar Kay Dill Main Sub Kuch Ghar Say Niklay Murtaza(a.s)
Na-Gahan Ek Shor Uthaa Ab Rahi'n Na Syedda(s.a)
Sunkay Yeh Masjid Main Ghash Kha Kar Giray Shah E Huda(a.s)
Ya Ali(a.s) Ya Fatima Zehra(s.a)

Kis Tarhan Likhay Masaib Wo Bhala Akhir "Hasan"
Jis Tarhan Haider(a.s) Nay Zehra Ko Diya Ghusl O Kafan
Ghash Pay Ghash Khatey thy Maula(a.s) Itna Tha Zakhmi Badan
Zindagi Bhar Fatima(s.a) Ko Roye Hain Shah E Zaman(a.s)
Ya Ali(a.s) Ya Fatima Zehra(s.a)


Noha Title Ya Ali Ya Fatima Zahra
Reciter Name Hussain Raza Kazmi
Poetry By Hasan Kazmi
Released On  Hussain Raza & Muhammad Raza YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Ayam e Fatimiyah 1443
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.