Type Here to Get Search Results !

Kitni Mazloom ha Zahra Ayam e Fatimiyah Noha by Mesum Abbas

 Kitni Mazloom ha Zahra Ayam e Fatimiyah Noha 

Kitni Mazloom ha Zahra Kitni Mazloom ha Zahra

Baad e Rasool pak jo Zulm o Sitam hue
Ta marg un ki ankh sa nasoo nahi rukee
Ankhon ka gird par gaye halkay Batool ka
Ya zulm ghair na nahi apnon na dhaya ha
Sadiyan guzar di gaye jari ha wo jafan
Ahl Aza ajj bhi kartay hain ya pukar
Kitni Mazloom ha Zahra

Rodad e gham sunaun zara kalma goo suno
Tareekh da rahi ha gawahi ya ap ko
Aye thay agg la ka Dar e Sayeda pa jo
Esai bhi nahi thay yahoodi nahi thay wo
Bibi pa jab giraya dehakta hua wo dar
Islam keh raha tha yahi cheekh cheekh kar
Kitni Mazloom ha Zahra

Khamosh Bu Turab(Ali a.s)thay man sha e Kibriya
Darbar ma laeen ka phounchi jo Sayeda
Hasnain ka siwa koi hamdard hi na tha
Sab ja nisar ho gaye qatil ka ham nawa
Jo chor kr gaye thay Janaza Rasool ka
Kartay bhala Rasool ki beti sa kya wafa

Atharwain baras ma uthaye hain ya mahan
Din Raat Sayeda ka kalajay ma thi dukhan
Dekhi guloo e Haider e Karar ma rasan
Roye Hussain,Zainab,Kulsoom aur Hassan
Jab thay ALi hisar ma us din ko roye ha
Tanhiyon ma beth kr Mohsin ko roye ha

Karwat sa daieen janib kabhi so nahi saki
Khoo ruk nahi raha tha jo zakhmi hui jabee
Tooti jo pasliyan sukoon tha kaheen nahi
Ab jee nahi sakoon gi ya Zahra ka tha yaqeen
Is darjah zakh khaye hain qunfuz ki zaat sa
Tasbeeh hi parh na paye kabhi seedhay hath sa

Ghusl o kafan ka waqt jo aya tha ba Khuda
Mola ka ghar Qayamat e Sughra hui bapa
Girya ALi ka sun ka ya Zainab na ki buka
Jahan sa guzar na jaye kaheen Sher e Kibriya
Yara raha na zabt ka ronay lagay ALi
Pehlu ka zakhm dakh ka kehnay lagay ALi

Kuch to batao logo rulaya gaya ha kyun
Makhdooama e jahan ko sataya gaya ha kyun
Ya zulm baad e margh bhi dhaya gaya ha kyun
Mayat ko Fatima ki chupaya gaya ha kyun
40 qabr e Zahra banaye thi is liye
Zahra ki qabr koi Musalan na dakh lay

Mismar qabr e Fatima Zahra ko kr dia
Jari ha phhir bhi zulm ka umat ma silsila
Lelo jo naam e Qatil Zahra to ha saza
Sadiyon ka baad bhi ha wahi zulm aur jafan
Socha kabhi nahi tha ya din bhi ayega 
Parhna ha jurm marqad e Zahra pa fatiha

Mesum ka ashk tera Qalam Mazhar Abidi
Kar hi nahi sakain ga bayan wo sitam kabhi
Jo zulm seh gaye ha wo beti Rasool ki 
Ta umr meri Bibi Azadar hi rahee
Ro kr hayat kati ghamoon ki aseer nay
Likha ha Marsiyon ma Anees o Dabeer nay

Noha Title Kitni Mazloom ha Zahra
Reciter Name Mesum Abbas
Poetry By Mazher Abidi
Released On  Mesum Abbas YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Ayam e Fatimiyah 1443
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.