Misle Ali Charaghe Hidayat Mohammad Moshi Manqabat 2022
Misl e Ali charagh e hidayat Batool he
Giyarah imamatun ki qiyadat Batool he
Kosar ki tarh umr mili jis ko mukhtasar
Quraan e Mustafa ki woh soorat Batool he
Saaye me jis ke rehte hain ye saare aalameen
Us k liye bhi saaya e rahmat Batool he
Sardar e anbia hun ki baarah imam hun
Sab haadiyo ki rooh e hidayat Batool he
Hoti he Mustafa ki imamat me jo ada
Nabiun ki woh namaz e jamaat Batool he
Zoja Abul Aimma ki Allah ye sharaf
Bint e khadija umme risalat Batool he
Ker dengi apne khutbe se ghasib ko be niqaab
Darbar me wakeel e wilayat Batool he
Hun matmi Hussain ka kia fikr he mujhe
Jannat me dakhile ki zamanat Batool he
Ahle sakha suhail jahan ayain lene bheek
Konain me woh bab e sakhawat Batool he
Noha Title | Misle Ali Charaghe Hidayat |
Reciter Name | Mohammad Ali Moshi Baltistani |
Poetry By | Sohail Shah |
Released On | Mohammadali Moshi Baltistani YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Manqabat |
Released Year | 20 Jamadi-us-Sani 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Must Read: Batool Ki Taqleed Manqabat
Social Plugin