Ali ke Noor ka 13 Rajab 1443 New Manqabat
Ali(as) ke noor ka sadqa dikhayi deta hai
Khuda ke ghar mein ujala dikhayi deta hai
Mizaj-e-Nehj-e-balagha hai ayaton jesa
Kalam ye bhi khuda ka dikhayi deta hai
Ali(as) imam-e-manasto manam ghulam e ali(as)
Har ik nabi(as) yehi kehta dikhayi deta hai
Kamal-e-qudrat-e-maabood hai mera abbas(as)
Ali(as) ko bhi ye ali (as) sa dikhayi deta hai
Mujhe zameen pe kuch bhi nazar nahi aataa
Faqat Hussain (as) Ka Sajda dikhayi deta hai
Najaf hai Mir Takkallum ka toot ayy moosa (as)
Ussey yahin pe wo jalwa dikhayi deta hai
Social Plugin