Har Ak Dil Ko Karbala Bana Dia 3 Shaban New Manqabat
Har ek dil ko Karbala bana diya Hussain ne
Nazar na aata tha Khuda dikha diya Hussain ne
Woh noor hai tu khaaq hai bashar teri bisaat kya
Bana ke khaaq ko shifa dikha diya Hussain ne
Khuda ki mai talash mai bhatak raha tha darbadar
Bula ka mujh ko karbala dikha diya Hussain ne
Sawal bayet e yazeed uthay ga ab na hashr tak
Ka Karbala ki Khaq mai daba diya Hussain ne
Mayan e Dasht e Karbala shikar tera hurmula
Ya kaan mai sagheer ki bata diya Hussain ne
Noha Title | Har Ek Dil Ko Karbala Bana Dia |
Reciter Name | Sonu Monu |
Poetry By | Syed Haider Raza Zaidi |
Released On | Sonu Monu YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Manqabat |
Released Year | Shaban 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin