Kaho ya Mehdi 15 Shaban Manqabat Lyrics in Urdu
Yeh saari kaenat hai kaayam imam se
Baaki khuda ka naam hai Mehdi ke naam se
KAHO YA MEHDI(ع)
Ek pal ko sochiye na agar ho shahe zamaa
Baadal rahe na abr na barsaat ka nisha(n)
Pis jaye kaenat pahado(n) ke darmeya(n)
Dharti ke sar pe aan gire pal me aasma(n)
In saare haadsaate zamaana ke saamne
Deewar khech rakhi hai mere imam ne
Suraj ko saare rastey batata hai khud Imam
Mashrik hai ye yaha se nikalna hai tera kaam
Thak jaye gar safar me to phir bhi hai ek makaam
Maghrib hai mere kadmo me karna yahi qayaam
Kehde jahan se waase nikalta hai aaftab
Mehdi se puch-puch ke chalta hai aaftab
Wo hai toh kaenat hai, wo hai toh zindagi
Wo hai to ye namaaz hai, wo hai toh bandagi
Wo hai to aarahi hai sadaa Ya Hussain ki
Wo hai to ho raha hai jahaa(n) me Ali-Ali
Ab jo khilafe zikre Ali lab hilaega
Duniya se be hisaab jahanam me jaega
Aane se uske hogi sitam ki kitab band
Hoga har ek muftiye shar ka nisab band
Ghaibat ka dar khula to khulenge hisab band
Maula kahenge hogaya tauba ka baab band
Apne paron se pehle mohibbo(n) ko aad do
Jibreel phir zameen ko dozakh me jhaad do
Raaze mukatteyaat ka hamraaz aega
Qura(n) Ali ka likha hua saath laega
Shaane nuzool aayato ki khud bataega
Makki se makki , madni se madni milaega
Far-far sahifa bolega uski janaab me
Wo jaan daal dega khuda ki kitab me
Hoga imame wakt yu masroofe kaar zaar
Kaandhe pe be niyam rakhi hogi Zulfiqar
Allah hoga khud wali-Allah par nisar
Talwar khud karegi jari waar-waar-waar
Fehrist dekhe dushmane aale batul ki
Phir dekh kya karegi saheli batul ki
Tanzeeme rozgar ka nazim jab aaega
Tabdiliyan bashar wo fitrat me laega
Duniya ko apna hakke tasarruf dikhaega
Insa(n) phir apni soch se bhi aage jaega
Khairat me imam se paega maujizaat
Mitti ka aadmi bhi dikhaega maujizaat
Hogi qaza ke haath me jine ki jab umang
Aajaega har ek bashar zindagi se tang
Iblisiyat dikhaegi duniya ko apna rang
Naeb khuda ka aake ladega khuda ki jung
Mit jaega badi ka nisha(n) kaenaat se
Shaitan maara jaega Mehdi ke haath se
Yu aas hai zahoor ki dil ke deyaar me
Akbar jo maut aa bhi gayi intezar me
Phir bhi tadap rahegi dile be karaar me
Hum muntazir rahenge hamesha mazaar me
Dega sadae jabhi hume waqt ka Hussain
Qabron se hum pukarenge ‘Labbayk Ya Hussain ”
Manqabat Title | Kaho ya Mehdi |
Reciter Name | Mir Hassan Mir |
Poetry By | Hasnain Akbar |
Released On | Mir Hassan Mir YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Manqabat |
Released Year | Shaban 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin