Type Here to Get Search Results !

Hashim Sisters New Nohay 2023 Hussain Raazi Hashim Sisters Noha Muharram Nohay 2023 / 1445 حسين (ع) راضي

Hashim SistersaNew Nohay 2023  Hussain Raazi  Hashim Sisters Noha  Muharram Nohay 2023 / 1445 حسين (ع) راضي

Zindagi Hai Baraaey Hussain
Dharkan Mein Hai, Aza e Hussain
Hussain Raazi, Khuda Raazi
 
1) Meri har saans mein saanson ki rawaani mein Hussain
Meri aankhon sey tapaktay huay paani mein Hussain
Meri aulaad kay bachpan mein jawaani mein Hussain
Hussain Raazi Khuda Raazi
Dil kay qaree(n) Hussaina
Mera yaqee(n) Hussaina
Azmat e Deen, Hussaina
 
2) Mera anjaam Hussaina meri aaghaz Hussain
Meri parwaaz Hussaina Meri awaaz Hussain
Meray Allaha kay raazon mein say ik raaz Hussain
Hussain Raazi Khuda Raazi
Shaahe zaman Hussaina
Noor e Chaman Hussaina
Eeman e man Hussaina
 
3) Chauda masoomo ka aaeena hai Masoom Hussain
Apnay Nana kay Madine say hai mehroom Hussain
Saray mazloomon mein sab say bara mazloom Hussain
Hussain Raazi Khuda Raazi
Ranj o alam Hussaina
Soorat e ghum Hussaina
Hai lab e dam Hussaina
 
4) Meray ajdaad kay sajdon ki taharat hai Hussain
Meri naslon ki taharat ki zamanat hai Hussain
Nasl dar nasl chalaygi voh amaanat hai Hussain
Hussain Raazi Khuda Raazi
Noor e Azal Hussaina
Khair e Amal Hussaina
Ishq e ATal Hussaina
 
5) Dashte purhaul mein zakhmon say hua choor Hussain
Laashh Akbar kay uthanay say hai majboor Hussain
Zindagi say hai bohat door bohat door Hussain
Hussain Raazi Khuda Raazi
Tashna dahan Hussaina
Aye bewatan Hussaina
Hai bekafan Hussaina
 
6) Asr e Ashoor ka kaisay ho bayaa(n) haal Hussain
Hogaya saara badan ghoron sey paamaal Hussain
Milgaey khaak mein Zahra kay sabhi laal Hussain
Hussain Raazi Khuda Raazi
Rooh e Nabi Hussaina
Jaan e Ali Hussaina
Hai Fatimi Hussaina Hussaina Hussaina
 
7) Sir khulay run mein hai ab Zainabay Dilgeer Hussain
Paeay Sajjad me hai zulm ki zanjeer Hussain
Sholo(n) ki zad pay hai gehwaraey bay sheer Hussain
Hussain Raazi Khuda Raazi
Karbobala Hussaina
Ah o bukka Hussaina
Ha ye sada Hussaina
 
8) Noha o Matam o Zanjeer ki jhankaar Hussain
Aey Zafar dashte museebat mein hai ghamkhwaar Hussain
Hashimi behno ki aawaz dilafgaar Hussain
Hussain Raazi Khuda Raazi
Shaam o Sahar Hussaina
Gham ka Safar Hussain
KhooN mein tar Hussaina


Reciters | Hashim Sisters 
Noha Title | Hussain Raazi Khuda Raazi 
Poet | Zafar Abbas Zafar
Audio | Pure Vocal Studios (Ahmed Sherrif) 
Video | EK Films 
Post Production | Zahid Masoom Rizvi (zmr) 
Cover Work | Zahid Masoom Rizvi (zmr) 
Venue | Imambargah Aale Mohammad (Reading, UK)
Special thanks | Tahir Kazmi 

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.