Zainab (as) Ke Nazar Fizza (as) Per
Fizza (as) Ke Nazar Hussain (as) Per
Hussain (as) Ke Nazar Alam Per
Alam Gira Hussain Gir Gaye
Fizza Giri Zainab Giri
Gonjhe Maqtal Main Yay Hussain Ke Sada
Haye Hum Ghareeb Hogaye
Qatal Alamdar Hogaya
Haye Hum Ghareeb Hogaye
Shair Jesa Bhai Tha Mera
Haye Hum Ghareeb Hogaye
1) Hum Ko Yay Gham Hai Tumko Sahara Na De Saky
Aysy To Koi Bhe Na Gira Jesy Tum Giry
Ghoray Se Girtay Howy ( Haye Alamdar )
Bazo Nahi Thy Tere ( Haye Alamdar)
Kisne Sambhala Tujhe ( Haye Alamdar)
Chahra Tera Zakhmi hogaya
Haye Hum Ghareeb Hogaye
2) Socha Nahi Tha Aysy Pukaro Gay Tum Mujhe
Arman Tha Lahad Main Utaro Gay Tum Mujhe
Yaad Hai Bachpan Hamain ( Haye Alamdar)
Nazoon Se Pala Tmhain ( Haye Alamdar)
Aje Meri Gode Main ( Haye Alamdar)
Bhai Tera Dum Nikal Gaya
Haye Hum Ghareeb Hogaye
3) Doba Howa Laho Main Wo Dekhy Ge Jab Alam
Piyasi Sakina Kesy Sahay ge Tmhara Ghum
Bethi Hai is Aas Pe ( Haye Alamdar)
Pani Chacha Laingy ( Haye Alamdar)
Kesy Bataon Usay ( Haye Alamdar)
Mary Gaye Nehar Pe Chacha
Haye Hum Ghareeb Hogaye
4) Abbas Teri Behnain Tery Gham Main Royin Ge
Soti the tere Ghum Se Jo Ankhain Na Soyinge
Behnon Ko Yay Maan Tha ( Haye Alamdar)
Zinda Hai Bhai Mera ( Haye Alamdar)
Dhondain Ge Chahra Tera ( Haye Alamdar)
Mar Dega Unko Gham Tera
Haye Hum Ghareeb Hogaye
5) Tum Jantay Thy Hum Main Nahi Hai Yay Hosla
Lasha Bhe Apna Tumne Uthane Nahi Deya
Itne Ijazat To De ( Haye Alamdar)
Bazoo Utha Lon Tere ( Haye Alamdar)
Kesy Samaiton Tujhe ( Haye Alamdar)
Tu Kahn Kahn Bikhar Gaya
Haye Hum Ghareeb Hogaye
6) Uthte Howy Hussain Se Utha Nahi Gaya
Aoo Hamain Sahara Do Akbar Se Yay Kaha
Chor Ke Lasha Uthay ( Haye Alamdar)
Khaimon Ke Janib Chaly ( Haye Alamdar)
Kahtay thy Sir Peet Ke ( Haye Alamdar)
Dekh Aye Zameen e Karbala
Haye Hum Ghareeb Hogaye
7) Khaimon Main Aaky Shah Ne Zainab Se Yay Kaha
Dharas The Jis Ke Dum Se wo Abbas Mar Gaya
Sun ke Yay Aah o Fughan ( Haye Alamdar)
Kehny Lagi Bibiyan ( Haye Alamdar)
Chor Gaye Tum Kahn ( Haye Alamdar)
Kon Ab Bachaye Ga Rida
Haye Hum Ghareeb Hogaye
8) Ghazi Ke Lash Laye Hon Jesy Shah e Zaman
Aysy Alam Ko Dekh ke Lipti the Her Behan
Dekh Ke Apni Rida ( Haye Alamdar)
Behnon Ne Rokar Kaha (Haye Alamdar)
Hum Se Juda Hogaya ( Haye Alamdar)
Bain Thy Zeeshan Aur Raza
Haye Hum Ghareeb Hogaye
Social Plugin