Ghazi Ki Azaan Noha Lyrics Ahmad Abbas - 2023 - Muharram 1445
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan

Dekh Kar Zakhmi Ka Sajda Ho Gaye Qatil Heeran
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Bach Gayi Kiun Zinda Sughra Samajh Mein Ye Aata Nahi
Mit Gaye Hain Jab Se Bhaiyyan Tere PAiro ke Nishan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Mout Ghabrati Hai Mujh Se Le Chalo baba Mujhay
Lout Aoungi Mein wapis Sun ke Bhaiyyan Azaan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Jane Kis Ada Se Dekha hashmi Ghayour Ne
Hurmala ka hath LArza Gira Gaya Teero Kama
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Mooh Ke Bal Girtay Ghoray Se Kaha Mazloom Ne
Tham Lo Mushkil Kusha ke Bete Ghazi Ho Kahan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Shimmer Kiun maray Tamachay Sehmi Hoi Masoom Ko
Puchta Agar Ghazi Hota Ya Hota Baqir Jawan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Fatmi Ghar Jo Jala Kar Bach Gayi Chingarian
Karbala Kheme Jala Kar Hoi Hai Ab Ye Ayaan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Goud Khali Hai Meri Asghar Se Kehti hai Rubab
To Bata Ae Laal Tujh Ko Dhonde Jaun Kahan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Ya Khuda Koi na Dekhay laal Ko Martay Hoye
Lasha E Akbar Pe Kartay Thay Yahi Sarwar Fugha
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Gurbat E Shabbir Ahmad Kis Tarah Se Ho Bayan
Bain KArtay Hai Zameen Or Roo Raha Hai Asman
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Gunjti Hai Jangalo mein Ik Ghazi Ki Azaan
Noha Details
- Kalam Title : Ghazi Ki Azaan
- Reciter : Ahmad Abbas
- Poet : Zakir Imam
- Compose : Ahmad Abbas
- Audio : Audio Zone
- Video : TNA Production
- Release : Ajareresalat
Social Plugin