Roi Jab Ladli Muhammad SAWW Ki Sara Darbar Muskuraya Hay Kazmi Brothers 110 Noha Bibi Fatima Zahra sa Ayam-e-Fatimiyah
Royi Jab Ladali Muhammad Ki
Saara Darbaar Muskuraya Hai
Haye Baade Rasool Zehra (sa) Par
Kaisa Gurbat Ka Waqt Aaya Hai
Jaise Jaise Batool Roti Thi
Keh Kahe Unn Ke Badhte Jaate The
Saath Jisko Batool Laayi Thi
Ashk Doono Gawah Baha Te The
Sab The Masroof Muskurane Mein
Na Kisi Ko Bhi Tars Aaya Hai
Sara Darbaar Muskuraya Hai...
Tere Mimbar Pe Baite Gasib Ko
Teri Tehreer Bhi Dikhayi Hai
Kar Ke Tukde Sanad Ke Aye Baba
Bhare Darbaar Mein Udaae Hai
Paak Tehreer Ko Hai Tukdo Mein
Maine Darbaar Se Uthaya Hai
Sara Darbaar Muskuraya Hai...
Mai Toh Woh Hu Ke Ya Rasool Allah
Jiski Taazim Aap Karte The
Naam Lena Ho Jab Mera Baba
Aap Pehele Darood Padhte The
Kya Batao Ke Mujh Pe Kya Guzri
Usne Tu Keh Ke Jab Bulaaya Hai.
Sara Darbaar Muskuraya Hai.
Social Plugin